Members Poetry Collections !! Share your Poetry Collections Here !! |
Advertisement |
![]() ![]() |
|
Thread Tools | Display Modes |
(#1)
![]() |
|
|||
![]() Haqiqat Jaan kar Aisi Hamaqat Kon Karta Hai Bhala Be-Faiz Logon Se Muhabbat Kon Karta Hai, Humain He Galat Fehmi Thi Kisi K Wasty Warna Zamany K Rawajon Se Bagawat Kon Karta Hai, Khuda Ne Sabar Karny Ki Muje Tofeeq Bakhshi Hai Ary G Bhar K Tarpao Shikayat Kon Karta Hai, Kisi K Dil K Zakhmon Par Marham Rakhna Zaroori Hai Magar Es Daor Mein Ye Zehmat Kon Karta Hai.
|
Sponsored Links |
|
(#2)
![]() |
|
|||
Hawa-e-tark-e-taaluq chali hai Dhiyaan rahay
Hawa-e-tark-e-taaluq chali hai Dhiyaan rahay magr ye baat hamaray hi darmiyaan rahay gilaa tujhi se nahiN baam o dar ki viraani khuli fizaa maiN bhi hum log by amaan rahay te're aseer mizaj aashnaa e mousam haiN so teri qaid maiN reh kr te'ri amaan rahay shikast e jaaN pe hai tajdeed e aitebaar ki muhr jo doob kr bhi te're saahiloN ka maan rahay wo barg jin pe rutooN ke azaab utray thy shajr se katt k bhi mousam k tarjumaan rahay tu apnay haq maiN gawahi kahaN se laaye ga te're tarf se agr hum bhi bad-gumaan rahay
|
(#3)
![]() |
|
|||
یہ ھوتی ھے تو ھوتی ھے نہیں ھوتی تو جتنا بھی جتن کر لو،نہیں ھوتی کوئی اچھا اگر لگ جائے تو سب خامیاں اُسکی اچانک، خوبیوں کی اوڑھنی میں چُھپ سی جاتی ھیں زمانہ لاکھ سمجھائے سنبھل جاؤ وہ ایسا ھے وہ ویسا ھے سمجھ میں کچھ نہیں آتا سماعت اور بصارت کو سُجھائی کچھ نہیں دیتا سمجھ آتا ھے اُس لمحے کہ جب دامن میں لاکھوں چھید ھو جائیں کبوتر کے پروں کے ساتھ لپٹے سب عیاں جب بھید ھو جائیں محبٌت میں کبھی دورائے کا امکاں نہیں ھوتا یہ ھوتی ھے تو ھوتی ھے نہیں ھوتی تو جتنا بھی جتن کر لو،نہیں ھوتی
|
(#4)
![]() |
|
|||
CHALO CHORO
Muhabbat joot hai Ehd-e-wafa ik shughl hai baikaar logon ka “Talab” sookay huway patton ka baironuq jazeera hai “Khulish” deemuk-zuda awraaq pur boseeda sutron ka zakheera hai “Khumaar-e-wusl” tuptee dhoop ke seenay pe Urrtay baadlon ki raaigan bukhshish “Ghubar-e-Hijr” sehra main sarabon say atey mosum ka khamyaza .. .. .. .. CHALO CHORO Ke ab tuk main andhairon ki dhumuk main saans ki zarbon pe Chahut ki bina ruk kar safar karti rah hon Mujay ihsas hi kub tha Ke tum bhee mosumon ke saat apnay peruhun kay rung badlogey .. .. .. .. CHALO CHORO Wo saray khwab kuchee bhurbhuree muttee ky baiqeemut gharonday they Wo saray zaaiqey mairee zuban pur zukhm bun kar jum gaye hongay Tumharee unglion ki nurm porain puthuron pe naam liktee thee mera laikin Thumharee unglian tho aadtun ye jurm karthee thee .. .. .. .. CHALO CHORO Safar main ajnubee logon say aisay haadsay surzud huwa karthay hai Sadion say .. .. .. .. CHALO CHORO Mera hona nu hona ik barabar hai Tum apnay khaal-o-khud ko aayeenay main phir nikurnay do Tum apnee aank ki bustee main phir say ik naya mosum uturney do “meray khwabon ko murnay do” nayee tasweer daiko phir naya maktoob liko phir naye mosum nuye lafzon say apna silsila jorho meray maazee ki chaahut raayegaan sumjo meree yaadon say kuchey raabitay torho .. .. .. .. CHALO CHORO muhabbat jhoot hai Ehd-e-wafa ik shughl hai baikar logon ka
|
(#5)
![]() |
|
|||
Kamosh Zabaan Ke Lafzon Mein
Kuch Posheeda Si Baatein Hai In Posheeda Si Baaton Mein Kuch Chahat Ki Barsaatein Hain In Baaton Ko Hum Muddat Se Seenay Mein Chhupaye Bethey Hain Kuch Paaye Bina Kuch Kho Dena Ye Piyaar Mein Ham Ne Seekha Hai Sooraj Mein, Chand Sitaron Mein Har Shai Main Tumhi Ko Dekha Hai Dharkan Mein Bhi Naghma Ban Kar Saagar Ki Tarah Tum Behtey Ho Ye Piyaar Nahi To Tumhi Kaho? Phir Piyaar Kisey Tum Kehtey Ho?
|
(#6)
![]() |
|
|||
Jub Seena Ghum Se Bojhal Ho
Aur Yaad Kisi Ki Aati Ho Tub Kamrey Main Bund Ho Jana Aur Chupkey Chupkey Roo Lena Jub Aankhein Baghi Ho Jaein Aur Yaad Main Meri Bhar Aaein Phir Khud Ko Dhuka Mat Dena Aur Chupkey Chupkey Roo Lena Jub Pulkeen Kerb Se Mondi Hoon Aur Sub Sumjhein Tum Sotey Ho Tub Moan Pe Takya Rakh Lena Aur Chupkey Chupkey Roo Lena Yeh Duniya Zalim Duniya Hai Yeh Baat Bohoot Phailaye Gi Tum Samney Sub Ke Chup Rehna Aur Chupkey Chupkey Roo Lena Jub Barish Chehra Dho Daley Aur Ashk Bhi Boondein Lagtey Hoon Woh Lamha Hergiz Mat Khona Aur Chupkey Chupkey Roo Lena
|
(#7)
![]() |
|
|||
Kaho,
woh dasht kaisa tha? Jidhar sub kuch luta aaye Jidhar aankhain ganwa aaye Kaha, sailab jaisa tha, bohot chaha keh bach niklain magar sub kuch baaha aaye Kaho, woh hijer kaisa tha? Kabhi choo ker usay dekha To tum nay kia bhala paya Kaha, bus aag Jaisa tha, usay choo ker to apni rooh ye tann mann jala aaye Kaho, woh wasl kaisa tha Tumhain jab chuu liya us nay To kya ehsas jaga tha? Kaha, ik raastay jaisa, jidhar say bus guzarna tha, makan lekin bana aaye Kaho, woh chand kaisa tha? Falak say jo uttar aaya! Tumhari aankh main basnay Kaha, woh khawab jaisa tha, nahi taabeer us ki, usay ik shab sula aaye Kaho, woh ishq kaisa tha? Bina perkhay kia jo tum nay Kaha, titlii k rang jaisa, bohat kachaa anokha sa, jabhi us ko bhula aaye Kaho, woh naam kaisa tha? Jisay sehraaon aur chanchal Hawaon per likha tum nay Kaha, bus mosmoon jaisa, na janay kis tarha kis pal kisi ro main mita aaye Suno, khawahishon ki lehron per sambhalna kion hua mushkil? Bataya , paanion per khawab ki rakhi bena jaisay Bhala tum rooh ki in kirchion main dhoondtay kia ho? Kaha, yeh itni roshan hain keh sooraj ha diya jaisay Suno aankhon hi aankhon ka bayan kesay laga tum ko? Laga, phoolon say sargoshi si kerti ha saba jaisay:
|
(#8)
![]() |
|
|||
Jo Meri Aankhon Se Khuwab Dekho
To Aik Shab Bhi Na So Sako Ge K Lakh Chaho Na Hans Sako Ge Hazar Chaho Na Ro Sako Ge K Khuwab Kia Hain, Azab Hain Ye Mere Dukhon Ki Kitab Hain Ye Rafaqtain In Main Choteti Hain Mohabbatain In Main Rothti Hain Pinapti Hain In Main Wehshatain Si Aziatain In Main Photeti Hain Inhein K Dar Se Khizan Hain Jazbe Inhein Se Shakhain Si Toteti Hain Ghamon Ki Bandish Hain Khuwab Mere Dukhon Ki Barish Hain Khuwab Mere Ubal Raha Hai Dukhon Ka Lawa Rahen-E-Atish Hain Khuwab Mere Khial Sare Jhulas Gai Hain Sulagti Khuwahish Hain Khuwab Mere Ukharti Sansain Hain Zindagi Ki Laho Ki Sazish Hain Khuwab Mere Jo Meri Aankhon Se Khuwab Dekho To Aik Shab Bhi Na So Sako Ge
|
(#9)
![]() |
|
|||
ankh ban jati hai sawan ki ghata:shaam k baad”…. mujhse ho jata hai har koi khafa “shaam k baad”…. chand jab roo k sitarun se galay milta hai………….. 1 ajab rang ki hoti hai fiza ..”shaam k baad……….. hum ne tanhai se pucha k milogi kab tak?………… usne be-chaini se foran kaha…”shaam k baad…… mar deta hai bichar jane ka dohra ehsas………….. kash na ho koi kisi se juda ….”shaam k baad…….
|
(#10)
![]() |
|
|||
WAFA K SILSILY
Haseen rutoon k wo mahakty Gulaab ru lamhy. Ghelaf chasham mein sambhal rakhe hain. Tumhain dekhain to kese wo hijr k mousam. Jo apne khoon-e-jigar sy ujal rakhe hain. Jenhain smajh k to anjaan ban gea tha kabhi. Hanuz Aankhoon mein wo hi sawal rakhe hain. Hamain saza jo mili jurm bhi to esa tha. Wafa k silsily hum ne bahaal rakhe hain.
|
![]() ![]() |
Bookmarks |
Tags |
>, <lll, lll, meri, pasand |
|
|
![]() |
||||
Thread | Thread Starter | Forum | Replies | Last Post |
<lll Chalo Choro Muhabbat Jhoot Hai... lll> | saira111 | Urdu Writing Poetry | 10 | 01-19-2013 03:04 PM |
<lll Aur Chupkey Chupkey Roo Lena lll> | saira111 | Urdu Writing Poetry | 7 | 10-11-2012 04:34 AM |
<lll Phir Piyaar Kisey Tum Kehtey Ho? lll> | saira111 | Urdu Writing Poetry | 5 | 09-29-2012 06:54 PM |
Meri Pasand (Hopefully aap ko b pasand aayegi) | masoodjee | Miscellaneous/Mix Poetry | 53 | 04-18-2011 12:14 AM |
lll..:::Mother Or Father:::...lll | life2 | Islamic Issues And Topics | 6 | 05-16-2010 10:14 AM |