Miscellaneous If you can't seem to find the right section to post? Share it all here! |
Advertisement |
|
Thread Tools | Display Modes |
|
(#1)
![]() |
|
|||
Tum mere paas hotei ho goya Jab koi dosra nahi hota Kuch logoan k bare mein keha jata ha ki tenhai pasand hain. Tenhai pasandi kya hoti ha? Aksar tenha bethe bethe gum ho jata houn Ab mein aksar mein nai rehta tum ho jata houn. Tenhai khyaloan ki dunia mein le jati ha ki kuch haseen yaadin ,kuch baatin;kuch ghuzri hoi lamhat aise lamhat jin ko shayad hum qaid karna chahti hain lekin waqt ko aaj tak koi qaid nai kar saka.isi liye hum majboor hote hain lekin tenhai mein is ghuzri howi khush gawaar lamhat ko yaad kar k sakoon hasil hota ha. Jehan khush-gawaar lamhat ko yaad kar ke sakoon ka ahsaas hota ha wehan talkh yaadin zakhmoan ko bharne nai deetin. Apne oper hone wali zyadtiyan,narwa-salooq, akhad lahje, kisi ka ignore karna..ye sab baatin jab yaad aati hain tu dil mazeed parishaan ho jata ha. our ache logon ki yaad un ka sath khabi nai bholta our agar koi dil mein bas jaye tu us ki yaad bholane se bi nai bholti. Doori k ahsasat shiddat eikhtyar karne lagti hain. Jehan log buhat hans-mukh our khush khush nazar aate hain wehin un k chehre par chupa ghum tenhai mein ayan hone lagta ha. Chehre khile howe hain tu dil hain bhuje bhuje Har shakhs mein tezaad ha din raat ki terah Tenhai mein khabi khabi aanso bi nikal jate hain.khabi kisi ko yaad kar k tu khabi kisi ki zyadti par khabi kisi ki judai mein. Agar mein apni baat karon to zindagi mein ek baar mera dil rone ko chaha lekin dunia k samne ro na saka lekin tenhai mein aanso nikal ate hain.our jab aanso nikalte haiin tu sochta houn ki kya agar ye aanso Allah ki mohabbat our gunahon ki nidamat par niklin tu behtar nai??
![]() Agar wo pochin tu un se kehna un ka aashiq basta tha yehan Dikhana un ko wo peepal ka peid our kehna gaane wo tenhai mein gungunata tha yehan Le jana un ko darwaze pe our kehna intezar wo kiya karta tha yehan Phir rakhna ungli dil pe our kehna Shikayat karta tha k dard hota ha yehan ~ Bikhre Lamhe ~ |
Sponsored Links |
|
Bookmarks |
Tags |
tenhai |
|
|