Miscellaneous/Mix Poetry !! All Miscellaneous/Mix poetry share here !! |
Advertisement |
|
Thread Tools | Display Modes |
|
(#1)
![]() |
|
||||
![]() ![]() ![]() Ikk Faqat Apney Siwa, Hum Sab Hi Say Miltey Rahey
Apni Hi Dhayi Huyi Aag Mein Hum Mudaton Jaltey Rahey Jab Say Daikha Hai Ussey Ikk Ajnabi Ke Saath Saath Dill Mein Mairey Waswasey, Ibhaam Say Paltey Rahey Wasl To Ho Hi Na Paya Uss Say Apna Umr Bhar Uss Ke Waadey Aaney Waaley Kal Pay Hi Tal-tey Rahey Zaat Ke Wajdaan Ne To Maar Hi Daala Humein Warna To Hum Zindagi Say Umr Bhar Larrtey Rahey Kal Chali Yaadoon Ki Aandhi Zor Say Kuch Iss Qadar Dair Tak Mairey Dar-o-Diwaar-e-Tan Hiltey Rahey Uss Ne Aankhon Mein Kabhi Hum Ko Basaya Hi Nahin Hum Bhi Thay Maanind-e-Aansoo Khaak Mein Rultey Rahey Zindagi Ne Barrh Ke To Hum Ko Sambhala Hi Nahin Apney Laashey Ko Utthaye Aap Hi Chaltey Rahey Shabaab Ke Lamhey, Maanind-e Raig Thay Goya Woh Jo Phisley To Hum Apney Haath Hi Maltey Rahey !!
|
Sponsored Links |
|
Bookmarks |
Tags |
apney, faqat, hum, ikk, miltey, rahey, sab, siwa |
|
|