Hadees Shareef !!!!Share Hadeesein here!!!! |
Advertisement |
![]() ![]() |
|
Thread Tools | Display Modes |
(#1)
![]() |
|
|||
-Wo gunah jis ka tumhein ranj ho,
Allah k nazdeeq us nayki se behtar hai jis se tum main ghuroor paida ho jaye". (HAZRAT ALI KARAM ULLAH WAJHO ANIL KAREEM) 2-Kisi ne Hazrat ALI Karam Ullah Wajho se poocha: "Dost aur bhai main kya farq hai?" Aap ne farmaya: "Bhai sona hai aur dost heera hai." Us aadmi ne kaha: "Aap ne bhai ko kam qeemat aur dost ko qeemti cheez se kyun tashbeeh di?" To aap ne farmaya: "Sone main agar darar aa jaye to us ko pighla kar bilkul pehlay jaisa banaya ja sakta hai. Jab ke heeray main aik darar aa jai to wo kabhi bhi pehlay jaisa nahi ban sakta.' (HAZRAT ALI KARAM ULLAH WAJHO ANIL KAREEM) 3-Ager kisi ka zaraf azmana ho to usko ziada izat do Wo ala zaraf hoa to ap ko or izat day ga or kam zaraf hoa to khud ko AALA ZARAF sumjhey ga (HAZRAT ALI KARAM ULLAH WAJHO ANIL KAREEM) 4-Hazrat ALI Karam Ullah Wajho Ka Frman Hy:- "Bura Dost Aag Ki Manind Hy" "Agr Jalta Hoga To Apko Jala Dega" "Or Agr Bujha Hoga To Ap K Hath Kale Kr Dega" (HAZRAT ALI KARAM ULLAH WAJHO ANIL KAREEM) 5-Aazmaye Hue Ko Azmana Bewakufi He. (HAZRAT ALI KARAM ULLAH WAJHO ANIL KAREEM) 6-Logon Ki Zaroraton Ka Tum Se Wabasta Hona Tum Per ALLAH Ki Enyat Hai. (HAZRAT IMAM HUSSAIN RAZA ALLAHTALA ANHO) 8-HAZRAT ALI KARAM ULLAH WAJHO ANIL KAREEM ne eid k din ro ro k bura haal kar liya.Naye kapre na pehne aur sookhi roti khane lagey. Kisi ne poocha k aaj to EID hai aap ne koi tayyari nahi ki. Aap ne farmaya k eid to unki hai jinko ALLAH SUBHAN-A-HU-WA TAALA ne muaf kar dia 9-HAZRAT ALI KARAM ULLAH WAJHO ANIL KAREEM) Says Apne Dushman Ko 1000 Dafa Moqa Do K Wo Tumhara Dost Ban Jaaye Per Apne Dost Ko 1 Bhi Moqa Na Do K Wo Tumhara Dushman Banay 10-Jub meri DUA kabol ho tu mein khush hota houn k is main meri marzi hai aur Jub kabol na ho tu mein aur khus hota houn k ye ALLAh ki marzi hai (HAZRAT ALI KARAM ULLAH WAJHO ANIL KAREEM)
|
Sponsored Links |
|
(#2)
![]() |
|
|||
|
(#3)
![]() |
|
|||
|
![]() ![]() |
Bookmarks |
Tags |
ali, aqwaalehazrat |
|
|
![]() |
||||
Thread | Thread Starter | Forum | Replies | Last Post |
Hazrat Ali ( R.A ) | dur-e-shahwar | Hadees Shareef | 8 | 08-16-2012 01:25 AM |
(Hazrat Ali r.a) | dur-e-shahwar | Hadees Shareef | 12 | 08-16-2012 01:25 AM |
Hazrat Ali R.A | dur-e-shahwar | Hadees Shareef | 13 | 07-08-2012 04:39 PM |
Sunehri Aqwaal: | ROSE | Quran | 3 | 07-04-2012 03:19 PM |
Aqwaal-e-Zarin | ~wish munda~ | Jokes | 8 | 10-12-2011 01:56 AM |