Hai Kon Zimmedaar....!! - MeraForum Community.No 1 Pakistani Forum Community

MeraForum Community.No 1 Pakistani Forum Community

link| link| link| link| link| link| link| link| link| link| link| link| link | link | link | link | link | link | link | link | link | link | link | link | link | link | link | link | link | link | link | link| link| link| link| link| link| link| link| link| link| link| link| link| link| link| link| link| link| link| link| link| link| link| link| link| link| link| link| link| link| link| link| link| link| link| link| link|
MeraForum Community.No 1 Pakistani Forum Community » Poetry » Urdu Poetry Categories » Miscellaneous/Mix Poetry » Hai Kon Zimmedaar....!!
Miscellaneous/Mix Poetry !! All Miscellaneous/Mix poetry share here !!

Advertisement
 
 
 
Thread Tools Display Modes
Prev Previous Post   Next Post Next
(#1)
Old
MeOw* MeOw* is offline
 


Posts: 20,007
My Photos: ()
Country:
Star Sign:
Join Date: Aug 2008
Location: кαяα¢нι
Gender: Female
Star Hai Kon Zimmedaar....!! - >>   Show Printable Version  Show Printable Version   Email this Page  Email this Page   08-10-2009, 05:32 PM

hai kaun zimmedaar iska aakhir ye kis ki zimmedaari hai
apni hi kotaahiyon ka sabab tang nazari ye hamaari hai
har simt gunjte hai naare har lahzah khauf se bhaari hai
insaaniyat mit gayi dilon se ab gham-o-nafrat taari hai

bacche maaN-baap se chutay
kitnon ke hai ghar lutay
dil sabhi ke hain tutay
apnon se apne bhi ruthay

hai kaun zimmedaar iska aakhir ye kis ki zimmedaari hai
'aahinsa'ki is sarzameen par tashaddud aaj bhi jaari hai
harsoo qatl-o-ghaarat ka hai manzar chaarsoo maaramari hai
akhlaaq ne to kab ka dam toda ab ikhlaas ki bhi baari hai

nazariyaa apna badalna hoga
is maahol se nikalna hoga
waqt ke saath chalna hoga
aaj gire kal sambhalna hoga

hai kaun zimmedaar iska aakhir ye kis ki zimmedaari hai
jism tuta huva bujhti nigaahen dilon maen beqaraari hai
goya aas na ho umeed paas na ho zindagi se bezaari hai
is maen nahi jeet kisi ki faqat aadmiyat hi haari hai

haq ka muhaafiz hi jab haq se muqar jaiy
ta'assub ki god maen insaaf neend bhar jaiy
fariyaad yateem bekaso ki jab be-asar jaiy
aise maen kya kare, kahaan koi bashar jaiy

hai kaun zimmedaar iska aakhir ye kis ki zimmedaari hai
mulk ke rahbaron ki koi dekhe kaisi ghaflat-shuaari hai
naadim hai har fard ka chehra hind ki yeh sharmsaari hai
lekin voh hain ke ab bhi jinko 'kursi' zyaada pyaari hai

nafraton ke baazar maen pyaar ka sikka chalta nahi
in be-chiraghaan galiyon maen ek diya bhi jalta nahi
har shaks hai sehma sehma sa, baher koi nikalta nahi
jab zameer hi so gaya ho phir ehsaas machalta nahi

hai kaun zimmedaar iska aakhir ye kis ki zimmedaari hai
farq insaanon maen jo kare laanat voh siyasat-daari hai
mehfooz nahi koi iski girift se kaisi ye fitnakaari hai
bakhsha nahi jisne 'gandhi' ko kya bisaat meri tumhaari hai

hai kaun zimmedaar iska aakhir ye kis ki zimmedaari hai
apni hi kotaahiyon ka sabab tung nazari ye hamaari hai

 



[SIGPIC][/SIGPIC]
Reply With Quote Share on facebook
Sponsored Links
 

Bookmarks

Tags
hai, kon, zimmedaar


Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off


All times are GMT +5. The time now is 07:31 AM.
Powered by vBulletin®
Copyright ©2000 - 2025, Jelsoft Enterprises Ltd.

All the logos and copyrights are the property of their respective owners. All stuff found on this site is posted by members / users and displayed here as they are believed to be in the "public domain". If you are the rightful owner of any content posted here, and object to them being displayed, please contact us and it will be removed promptly.

Nav Item BG