Banned
|
|
Posts: 23,626
Country:
Star Sign:
Join Date: Aug 2008
Location: USA
Gender:
|
|
Suhail bin M'aaz apne waalid maajid Hazrat M'aaz R.A. se rivaayat karte hai k Rasool Allah S.A.ne farmaaya k jo shaks pii jaey gusse ko halaan k ismay itni taaqat aur quwwat hai k apne gusse k taqaaze ko wo naafaz aur poora kar sakta hai( lekin is k bawjood mahaz Allah k liye apne gusse ko pii jata hai aur jis per is ko gussa hai us ko koi saza nahi deta.)to Allah T.qayaamat k din saari makhlooq k saamne is ko bulaege aur is ko ikhtiyaar dege Hooraane jannat may se jis hoor ko chahe apne liye intakhaab kar lein.
Woh aadmi taaqatvar nahi hai jo logo ko dabaata aur maghloob karta ho, balke woh aadmi taaqatvar hai jo apni nafs ko dabaa sakta aur maghloob kar sakta ho.
Huzoor Aqdas S.A.ka irshaad hai k razaaey ilaahi k liye gusse k ghoont ko pii jaane se badhker koi doosra ghoont nahi hai.
Jab gussa aaey to wazu kar lena chahiye.
Agar khade hone ki haalat may gussa aaey to baith jaey agar baithne ki haalat may gussa aaey to let jaey.
Gusse k waqt aUU zu billaahi minash shaitaanir rajiim padhne se gussa jaata rehta hai.
Huzoor Aqdas S.A. ka irshaad hai k musalmaano agar tum may se kisi ko gussa aaye to is ko laazim hai k woh khaamosh ho jaey.
|