Mohabbat shayari !! Share Only Mohabbat shayari Here !! |
Advertisement |
![]() ![]() |
|
Thread Tools | Display Modes |
(#1)
![]() |
|
|||
"کانچ کی چوڑی" کتنی سادہ کتنی پیاری کانچ کی چوڑی جیسی لڑکی کالج کے اک کمرے میں بیٹھی جانے کیا کچھ سوچ رہی تھی اس کا ہاتھ کلائی پر تھا اور وہ کچھ خوفزدہ تھی اب کیا ہوگا؟ میں بھی اس کے پاس ہی بیٹھا اس کو غور سے دیکھ رہا تھا میں نے اسکا ہاتھ تھاما اور پیار سے پوچھا کیا قصہ ہے؟ اسکی آنکھیں بھیگ گئیں اور وہ دھیمی آواز میں بولی... دیکھو...!! "چوڑی ٹوٹ گئی"
|
Sponsored Links |
|
(#2)
![]() |
|
|||
|
(#3)
![]() |
|
|||
Aik dil waalon ki basti thi Jahaan chaand aur sooraj rehte thay Kuch sooraj man ka paagal tha Kuch chaand bhi shokh aur chanchal tha Basti basti phirte thay Her pal hanste rehte thay Phir aik din dono rooth gaye Aur saare sapne toot gaye Ab chaand bhi us waqt aata hai Suraj jub so jaata hai Baadal shab se kethe hai Sooraj uljha rehta hai Chaand k saath sitaare hain Per sooraj tanha rehta hai...!!!
|
(#4)
![]() |
|
|||
ہم خوابوں کے بیوپاری تھےپر اس میں ہوا نقصان بڑا کچھ بخت میں ڈھیروں کالک تھی کچھ غضب کا کال پڑا ہم راکھ لئے ہیں جھولی میں اور سر پہ ہے ساہوکار کھڑا جب دھرتی صحرا صحرا تھی ہم دریا دریا روئے تھے جب ہاتھ کی ریکھائیں چُپ تھیں اور سُرسنگیت میں کھوئے تھے تب ہم نے جیون کھیتی میں کچھ خواب انوکے بوئے تھے کچھ خواب سجل مسکانوں کےکچھ بول بہت دیوانوں کے کچھ نیر و وفا کی شمعوں کے کچھ پاگل پروانوں کے کچھ لفظ جنہیں معنی نہ ملیں کچھ گیت شکستہ جانوں کے پھر اپنی گھائل آنکھوں سے خوش ہوکے لہو چھڑکایا تھا ماٹی میں ماس کی کھاد بھری اور نس نس کو زخمایا تھا جب فصل کٹی تو کیا دیکھا،کچھ درد کے ٹوٹے گجرے تھے کچھ زخمی خواب تھے کانٹوں پرکچھ خاکستر سے گجرے تھے اور دور اُفق کے ساگر میں کچھ ڈولتے ڈولتے بجرے تھے اب پاوں کھڑاوں دھول بھری اور تن پہ جوگ کا چولا ہے سب سنگی ساتھی بھید بھرے کوئی ماشہ ہے کوئی تولہ ہے اب گھاٹ ہے نہ گھر دہلیز ہے نہ در اب پاس رہا کیا ہے بابا بس اک تن کی گٹھڑی باقی ہے جا یہ بھی تو لے جا بابا ہم بستی کو چھوڑے جاتے ہیں تو اپنا قرض چکا بابا •♥◘_◘♥• •♥◘_◘♥• •♥◘_◘♥• •♥◘_◘♥• Hum khwaabon k beo-paari thay per is maiN howa nuqsaan barra Kuch bakht main dheron kaalik thi kuch ghazab ka kaal parra Hum raakh liye hain jhouli maiN aur sur pe hai sahoo-kaar kharra Jub dharti sehra sehra thi hum dariya dariya roye thay Jub haath ki rekhayeN chup theeN aur sur-sangeet maiN khoye thay Tub hum ne jeewan khaiti maiN kuch khwaab ankhe boye thay Kuch khwaab sijal muskaanoN k kuch bol bohat deewaanoN k Kuch neer-o-wafaa k shamaoN k kuch paagal perwaanoN k Kuch lafz jinheN ma'na na mileN kuch geet shikasta jaanoN k Phir apni ghayel aankhoN se khush ho k lahoo chhirrkaaya tha Maati main maas ki khaad bhari aur nus nus ko zakhmaaya tha Jub fasal kati to kia dekha, kuch dard k toote gajre thay Kuch zakhmi khwaab thay kaantoN per kuch khaakster se gajre thay Aur door ufaq k saager maiN kuch dolte dolte bajre thay Ab paaoN kharraoN dhool bhari aur tun pe jog ka choula hai Sub sangi saathi bhaid bhare koi maasha hai koi toula hai Ab ghaatt hai na ghar dehleez hai na dar ab paas raha kia hai baaba Bus ik tan ki gathrri baaqi hai ja ye bhi tu le ja baaba Hum basti ko chorre jaate hain tu apna qarz chuka baaba
|
(#5)
![]() |
|
|||
Misr Doodh myn pani milaty hyn gawaly lekin Taarrny waloon k andaz py qurbaan jayn Nok'e'angasht py ek qatra utha kr wo Jan jaty hyn k es doodh myn kuch pani hy Lekin insaan ki jazbaat shanasi k liye Aesa pemana nahi hy koi Jis sy pehchaan sky khoty khary ko insaan Is tarhaa bunty hyn bafandy haq'o'batil ko Koi fankaar bhi andaza nahi kr sakta Sach hy ya jhoot koi nam nahi dhar skta Kagazi phool py joban ka nikharna mat puchh Andaliboon ki nigahyn bhi bhatak jati hyn Bhool jati hyn k ye roop nahi maya hy Rutt hy sawan ki wahin dhoop wahin saya hy "boo'e'gul, nala'e'dil, dard'e'chiraag'e'mehfil" Ik tarazoo py yahan tulty hyn Lala'o'gul hyn qadaah khwari k bais badnaam "Khoon'e'anjum ka hy damaan'e'saher pr ilzaam" Dastaan aesi yahan roz buni jati hy Jhooti tuhmat hi sahi daman'e'Yusuf py magr Misr myn ab bhi Zulaikha ki suni jati hy (Shareef Kanjahi)
|
(#6)
![]() |
|
|||
Mery hathon myn taash k patty Un k hathon myn nabz patton ki Shart ye thi k jeetny k liye Chaar patton myn ek tasalsul ho Paan ka badshah tha un ki talab Mujh ko darkar phool ki begum Un k chehry py aitmaad ka noor Meri aankhon myn sirf herani Main ny danista apny hathon sy Paan ka badshah he phaink diya Qehqahy sy ubal parry har soo Or main sochta hoon reh reh kr Tera patton k khail myn kal raat Jeet jata to maat ho jati
|
(#7)
![]() |
|
|||
*********** یہ سب چاند، تارے بہاریں، خزائیں، بدلتے ہوئے موسموں کے ترانے ترا حسن، میری نم آلود آنکھیں تصور کے ایواں، نگاہوں کی کلیاں، لبوں کے افسانے یہ سب میرے سانسوں کی جادوگری ہے مگر مجھ کویہ غم ہے کہ جب میں مروں گا یہ سب چاند، تارے بہاریں خزائیں بدلتے ہوئے موسموں کے ترانے ترا حسن، دنیا کے رنگیں فسانے یہ سب مل کر زندہ رہیں گے فقط اک مری اشک آلود آنکھیں نہ ہو گی۔۔۔ ***********
|
(#8)
![]() |
|
|||
Muhabbat dasht-e-furqat mein Bina rakht-e-safar chaltay Kisi majzoob ke dil se nikalta Ek noha haY Muhabbat raaston ke jaal mein bhatka hua raahi Kisi ke baam pe thehra hua ik ajnabi chehra Muhabbat khuaab bun jaaey to taabeerein nahi miltein Muhabbat aik baarish haY Jo ik ik boond bun kaY Tun-0-mun mein jab utarti haY Sureelay saaz bajtay hain Anokhay baab khultay hain Muhabbat kerne waley to Faseel-e-jaan ko daao per Laga ke baat kertay hain Woh kaanto ki zameeno pay bhi nangay paaon chaltey hain Muhabbat aik sargoshi haY Kisi funkaar ke haathon se chirta bay-khudi ka raag Muhabbat baarishon ke mausam mein yaad ki kaaya Muhabbat jaltay-tuptay raaston per phailta saaya Muhabbat ik qaza bun ker bhi aati haY Kai logon ke jeewan mein Muhabbat marg-e-gul bhi haY Muhabbat yaas ki soorat Ek aisi piaas ki soorat Kabhi jo bujh nahi paati Muhabbat ik udaasi haY Bala ki khaamshi bhi hai Muhabbat mausmon ko husn ka paighaam daiti hai Muhabbat chahnay walon ko yeh inaam daiti hai Qabooliat ke darwaazon pe mehki ik dua bhi hai Muhabbat ik saza bhi hai Muhabbat pat-jharon ka naam Muhabbat ik sulagti shaam..
|
(#9)
![]() |
|
|||
tum to bus aik hi dukh puchte ho kon se dukh ki karai'n bat zara ye to batao mosmo'n ,sard havao'n ki masihaie ka dukh rah ki dhool mai bikhri hui be-naie ka dukh sang k shehr mai khud dukh se shanasaie ka dukh ya kisi bhegti barsat mai tanhaie ka dukh kon se dukh ki karai'n bat k dil ka darya itni tughyani ki zaad pe hy k kuch yad nai kab hamai'n bhool gaya kon se harjaie ka dukh tum to bus aik hi dukh puchte ho ...
|
(#10)
![]() |
|
|||
○ ○○ ○○○ Main siyah raat kay safar parr hoon aik qendeel yaad-e-janan ki hath mein hai,magar hawa hai taez main to ik baat kay safar parr hoon jo kisi kunnj-e-labb say phooti thi aur meri tamam umr ko--- aik dasht-e-pur khaar mein dhakael ga'ei saari subhein,usi kay naam huein saari fathein,usi kay naam huein main,faqat maat kay safar parr hoon main to ik baat kay safar parr hoon!
|
![]() ![]() |
Bookmarks |
Tags |
favourates, poetry, waheed |
|
|
![]() |
||||
Thread | Thread Starter | Forum | Replies | Last Post |
Own Waheed | waheed ahmed | Urdu Literature | 3 | 10-01-2014 02:47 AM |
Chashm-e-namdeedaH Waheed tropical poetry | waheed ahmed | Your Own Poetry | 4 | 04-01-2014 10:17 PM |
tere milne kaa waheed typical poetry | waheed ahmed | Your Own Poetry | 4 | 04-01-2014 10:16 PM |
Waheed Fav. | waheed ahmed | Great Urdu Poets&Poetry | 2 | 03-20-2014 09:33 PM |
How to make Poetry Background For your Poetry | AYAZ | MF Design Tutorials | 5 | 08-25-2011 11:47 PM |