Miscellaneous/Mix Poetry !! All Miscellaneous/Mix poetry share here !! |
Advertisement |
![]() ![]() |
|
Thread Tools | Display Modes |
(#1)
![]() |
|
|||
Chupa deta main kisi taaq mein, kisi khaana-e-daraz mein' ya lapaitt ker oaraaq mein milla deta kisi khaak mein; jo hota ayaa'n to na kholta! ke ye meri kitaab-e-zindagi ba'unwaan-e-haasil-e-dil'lagi anjaam-e-aashiqi warq warq liye muntazir hai dard-o-karb' jo hota gumaa'n to ye sochta! ke mere bakht-e-sitam saaz ne jo kiya tha darjj naseeb mein sab raqm jis kitaab mein kiyo'n laggi wohi , mere haath mein!! per dard-o-ghum ki ghaat ka mujhe ilm tha na aagahi so ik ada-e-saadgi se mein ne kitaab-e-zeest ko khush khayal lamho'n mein waqt waqt rok rok khola.... pehlay safhay pe khush rung-o-khush'numa andaz se ik "lafz-e-roshan" tha likha; ye lafz shanasa tha wohi jo rawaa'n tha her her ragg mein hi jissay harf harf sar-e-loh-e-jaa'n parha tha dil-e-zaar ne ussi lafz-e-saya dar ne' kuch maani diye giraftt mein phir rakha ta'umer hisaar mein! ussi lafz-e-kull ki qeemate'n; wohi lafz yani "Mohabbate'n" na kisi aadaad-o-shumaar mein palta jo warq aur ik .... to darjj thi wohi qeemate'n jin qeemato'n ki madd mein hi mere roz-o-shab sab qaid thay; baqi oaraaq kitaab ke... ya siyaah thay.. ya sufaid thay!! main kaatib-e-taqdeer ke insaaf pe hairaan tha' meri aankh ashkbar thi.. mera jism be'jaan tha' ussi aalim-e-hairangi-o-aalim-e-pur'soz mein junhi kitaab band ki; to ik lafz aur darjj tha... ye "lafz-e-siyaah" to azal se zehan-o-dil pe naqsh tha' meri hayyat to goya 2 lafzo'n ka qarz tha' wo jo eik sar-e-pushtt tha.. wo jo eik sar-e-warq tha! mujh per naseeb-e-zeest ka andha sa her ik faisla abb misl-e-roz-e-awal-o-aakhir aashkar tha' main naqsh'ba'deewar tha;; so 2 lafzo'n pe mushtamil korii kitaab-e-zeest ko sar-e-taaq chup se rakh diya! ke shaam ke anjaam se sehar ke aaghaz tak zeest se ajal ki aakhri aawaz tak'''' darooney-o-bairoonay zaat door tak pheli huyee... ayaa'n thi'n mujh pe abb sabhi bakhtt ki siyahiyaa'n sar-e-warq sabtt... "Mohabbate'n" . . . sar-e-pushtt likha tha... "Judaiyaa'n!!"
[SIGPIC][/SIGPIC]
قطرہ اے شبنم کی طرح اڑ جاینگے گل سے ایک یاد سی رہ جائے گی گلشن میں ہماری .•´¸.•*´¨) ¸.•*¨) ¸.•´¸.•*´¨)¸.•*´¨ .`·.¸(¨`·.·´¨) . * .*..*...* *......`·.¸.·´* (¨`·.·´¨ ¸.•♥´¨`♥•.¸¸.•♥´¨`♥•.¸¸.•♥´¨`♥•.¸¸.•♥´¨`♥•.¸¸.•♥ ´¨ `♥•. M A H ¡ ..•´¸.•*´¨) ¸.•*¨) ¸.•´¸.•*´¨)¸.•*´¨ .`·.¸(¨`·.·´¨) . * .*..*...* *.....`·.¸.·´* (¨`·.·´¨¸.•♥´¨`♥•.¸¸.•♥´¨`♥•.¸¸.•♥´¨`♥•.¸¸.•♥´¨`♥• .¸¸.•♥´¨`♥• |
Sponsored Links |
|
(#2)
![]() |
|
|||
|
(#3)
![]() |
(#4)
![]() |
|
|||
Thanks Shamm & Pakeeza
[SIGPIC][/SIGPIC]
قطرہ اے شبنم کی طرح اڑ جاینگے گل سے ایک یاد سی رہ جائے گی گلشن میں ہماری .•´¸.•*´¨) ¸.•*¨) ¸.•´¸.•*´¨)¸.•*´¨ .`·.¸(¨`·.·´¨) . * .*..*...* *......`·.¸.·´* (¨`·.·´¨ ¸.•♥´¨`♥•.¸¸.•♥´¨`♥•.¸¸.•♥´¨`♥•.¸¸.•♥´¨`♥•.¸¸.•♥ ´¨ `♥•. M A H ¡ ..•´¸.•*´¨) ¸.•*¨) ¸.•´¸.•*´¨)¸.•*´¨ .`·.¸(¨`·.·´¨) . * .*..*...* *.....`·.¸.·´* (¨`·.·´¨¸.•♥´¨`♥•.¸¸.•♥´¨`♥•.¸¸.•♥´¨`♥•.¸¸.•♥´¨`♥• .¸¸.•♥´¨`♥• |
(#5)
![]() |
(#6)
![]() |
|
|||
|
(#7)
![]() |
|
|||
|
(#8)
![]() |
|
|||
|
(#9)
![]() |
|
|||
|
![]() ![]() |
Bookmarks |
Tags |
dastaan, kull |
|
|
![]() |
||||
Thread | Thread Starter | Forum | Replies | Last Post |
Apni Dastaa'n Keh Doon... | SHAYAN | Ashaar's | 11 | 12-23-2012 09:20 AM |
| Mein Likh Rha hOn Abhe DaStaa'n UdaSsi Kii | | "K.G" | Miscellaneous/Mix Poetry | 7 | 08-14-2009 03:24 PM |