Dajjaal kya hai ? - MeraForum Community.No 1 Pakistani Forum Community

MeraForum Community.No 1 Pakistani Forum Community

link| link| link| link| link| link| link| link| link| link| link| link| link | link | link | link | link | link | link | link | link | link | link | link | link | link | link | link | link | link | link | link| link| link| link| link| link| link| link| link| link| link| link| link| link| link| link| link| link| link| link| link| link| link| link| link| link| link| link| link| link| link| link| link| link| link| link| link|
MeraForum Community.No 1 Pakistani Forum Community » Islam » Say For Islam » Dajjaal kya hai ?
Say For Islam !!!!Share Say For Islam!!!!

Advertisement
 
 
Thread Tools Display Modes
Prev Previous Post   Next Post Next
(#1)
Old
pakeeza pakeeza is offline
 


Posts: 28,336
My Photos: ()
Country:
Star Sign:
Join Date: Jan 2012
Location: Maa ki duaon mey
Gender: Female
Praying Dajjaal kya hai ? - >>   Show Printable Version  Show Printable Version   Email this Page  Email this Page   06-06-2013, 09:15 PM





DAJJAAL KYA HAI ???

• Dajjaal Qayamat Se Qabal Zaahir Hoga. – (Muslim Sharif)

• Dajjaal Iran K Shaher Kharaasaan Se Niklega. – (Ibne Maajah)

• Dajjaal Us Waqat Zaahir Hoga Jab Loog Us Se Bilkul Gaafil Ho Chukey Hoonge. -(Ahmad)

• Kisi Baat Par Gazabnaak Hona Dajjaal Ke Nikalney Ke Sabab Baneyga(Muslim Sharif)

• Dajjal Bahar-e-Hind Ke Kisinaa Maloom Jazeerey Par Zangeeron Se Jakdaa Howa Hai. – (Abu Dawood)

• Madeenay Ke Yahoodi Gharane Me Paidaa Hone Wala ‘Saaf’ Dajjaal Hai Jo Pehle Islaam Laaya Baad Me Murtad Ho Gaya, Dajjaal Ki Kuniyat Ibni Sayaad Ya Ibni Saayid Hai. – (Muslim Sharif)

• Dajjaal Ki Aik Aankh Kaani Aur Usk Sar Ke Baal Gongraaley Hoongey RangSorokh Aur Jism Bhaari Hoga. – (Bukhari Sharif)
• Dajjaal Ki Dono Aankhon Ke Darmiyaan ‘Kaafir’ likha Hoga. – (Bukhari Sharif)

• Dajjaal Ke Sar Pe Buhat Zyada Baal Honge. – (Ibne Maajah)

• Dajjaal Ke Paas Jannat Aur Jahannam Dono Hoonge Us Ki Jahannam Jannat Hogi Aur Jannat Jahannam Hogi. – (Muslim Sharif)

• Dajjaal Ke Paas Paani Hoga Jo Asal Me Aag Hogi Aur Aag Hogi Jo Asal Me Meetha Paani Hooga. – (Muslim Sharif)

• Dajjaal Ke Hukum Se Aasmaan Se Baarish Hogi, Zameen Se Ghaas, AnaajWagairah Ugey Ga Jaanwar Pehle Se Zyada Dhood Dena Shooro Kar Dengey. – (Muslim Sharif)

• Dajaal Ke Zaahir Hone Ke Baad Kisi Ka Imaan Lana Allah Ke Yahaan Qabool Nahi Hoga.
- (Muslim Sharif)


• Jo bhi Shakhas Dajjaal Ka Zamana Paaye Wo Dajjaal Ke Saamne Na Jaaye. – (Abu Dawood)

• Fitn-e-Dajjaal Se Dar Kar MusalmaanPahaad on Me Chup Jaayenge. (MuslimSharif)

• Dajjaal Duniya Ki Har Aitkshaher Me Daakhil Hoga Srif Do Shahron Ke Makkah Mukarramah Aur MadeenatulMunaw arah. – (Muslim Sharif)

• Fitn-e-Dajjaal 1 Saal 2 Mahh Aur 2 Hafta Hogi -(Muslim Sharif)

• Iran Ke Aik Shaher ”Asfahaan” Se 70000 Yahoodi Dajjaal Ka Saath Dengey. – (Muslim Sharif)

• Motey Aur Chodey Chahrey Waali Buhat Se Aqwaam Dajjaal Par Imaan Ley Aayengi. – (Tirmizi Sharif)

• Kaafir Aur Munafiq bhi Dajjaal Ka Saath Denge. – (Muslim Sharif)

• Aasmanse Nazool Hone Ke Baad Eesaa (A.S) Musalmaano Ke Saath Mil Kar Dajjaal Ke Khilaaf Jihaad Karenge.Musalma ano Ko Fatah Hogi aur Dajjaal Eesaa (A.S) Ke Haathon ”Ladd” Ke Maqaampar Qatal Hoga. – (Muslim Sharif)

• Dajjaal Se Jung Karne Ke Liye Musalmaano Ka Padaaw Dimashaq (Damascus) Ke Kareeb ‘Gotah’ Ke Maqaam Par Hoga (Abu Dawood)
• Eesaa (A.S) Dajjaal Ko Khud Apne Teer Se Qatal Karenge. – (Muslim Sharif)

• Daryaa-E-Urdun Par bhi Dajjaal Se Ahle Imaan Ke Mo’arqah Hoga. – (Tibrani)

• Dajjaal Ke Khilaaf Jihaad Me Aik bhi Yahoodi Zindah Nahi Bach Paayega. – (Muslim Sharif)

• Eesaa (A.S) Ke Saath Mil Kar Dajjaal Ke Khilaaf Jihaad Karne Wale Musalmaano Ke Liye Jannat Ki Bashaarat Hai. – (Nasayee)

• Ummat-e-Mohamma diyah Ki AakhriJung Dajjaal Ke Khillaf Hogi Is Ke BaadJihaad Khatam Hojayga. – (Abu Daawood)

• Madeenah Munawarah Ke Saat Raaston Par Allah Do Do Nigraan Farishtey Muqarar Farmaa Dega Jo Dajjaal Ko Madeenan Munawarh Me Daakhil Nahi Hone Dengey. – (BukhariSharif)

• Makkah Mukarramah Meb Dajjaal Daakil Nahi Ho Sakega. – (Muslim Sharif)

• Alhe Imaan Ko Allah Fitn-e-Dajjaal Se Mehfooz Rakhega. – (Muslim Sharif)

• Allah Ke Fazal Se Anpad Ahle Imaan bhi Dajjaal Ki Paishani Par ‘Kaafir’ Lafaz Pad Kar Use Pehchaan Leynge. –(Muslim Sharif)

• Jo Loog Dajjal Ko Pehchaan Kar Apney Imaan Par Qaayim Rahange UnPar Dajaal Ka Koi Fareb Nahi Chalega. – (Muslim Sharif)

• Dajjaal Aik Momin Aadmi Ko Aar Se Cheer Kar Do Tukdey Kare Ga Aur Zinda Hone Ka Hukum Dega Aur Dobra Qatal Karna Chahey Ga Magr Allah Paak Us Momin Ko Peetal Ka Bana Dega Aur Dajjaal Use Qatal Nahi Kar Paayega. – (Muslim Sharif)

• Fitne Dajjaal Se Bachne Wale Loogon Ko Allah Duniya Me Hi Eesaa (A.S) Ki Zubani Buland Darjaat Ki Basharat Dega – (Ibni Maajah)

• Fitn-e-Dajjaal Se Bach Neki Dua ‘Ay Allah Me Teri Pannah Maangta Hoon Azaabi Qabar Se, Fitne Dajjaal Se Zindagi Aur Maut Ke Fitno Se, Gunah Se Aur Karaz Se. – (Bukhari,Muslim Sharif )

• Surah Kahaf Ki Pehli Dus Aayaat Ko Yaad Kar Ne Wale Shakhas Ko bhi Allah Fitne Dajjal Se Mehfooz Rakhega. – (Abu Dawood)






ALLAH Azzawajal Hum Sab Ko Dajjal Ke Fitne Se Bachaye …

ALLAH Humma Aameen Ya ALLAH



 

Reply With Quote Share on facebook
Sponsored Links
 

Bookmarks

Tags
dajjaal, hai, kya


Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off

Similar Threads
Thread Thread Starter Forum Replies Last Post
Teri Judai Mein Kya Kya Dikhaai Deta Hai *Mi Fav* SHAYAN Miscellaneous/Mix Poetry 11 07-17-2012 01:04 AM
Zinda rahen to kya hai jo mar jayen ham to kya ROSE Great Urdu Poets&Poetry 6 09-14-2011 08:46 PM
Kya Jano Sajan Hoti Hai Kya Gum Ki Shaam .:) ~ZAIN~ Share Your Favourite Videos 3 07-01-2011 06:36 PM
bechain baharon mein kya-kya hai jan ki khushbu ati hai ROSE Miscellaneous/Mix Poetry 2 02-20-2011 03:27 AM
Kya Kya Batain Woh apni Tehreer main likhti hai ROSE Miscellaneous/Mix Poetry 4 10-05-2010 04:27 AM


All times are GMT +5. The time now is 05:21 PM.
Powered by vBulletin®
Copyright ©2000 - 2025, Jelsoft Enterprises Ltd.

All the logos and copyrights are the property of their respective owners. All stuff found on this site is posted by members / users and displayed here as they are believed to be in the "public domain". If you are the rightful owner of any content posted here, and object to them being displayed, please contact us and it will be removed promptly.

Nav Item BG