Buhat MAsrooof Rehte Ho
Nahi Fursat Zara Tum Ko
Buhat Se Dost Aise Hain
Jinhen Milna Milana Hai
Kaye Duniya Ki Rasmen Hain
Jinhen Tum Ne Nibhana Hai
Adhore Kaam Hain Dheron
Jinhen Ab KhataM KarNa Hai
KamOn Ki FehriSt Mai Tum Ne
Mujhe Milna , Mujhe TakNa Nahi LikhNa
Kia In KamOn k Akhir Se b Akhir Mai
Mera Darja Nahi Ata ?
Buhat DuShwaar Hai Mere Lie Is Karb Ko SehNa
Agar FurSat Ho to SochO
Jinehn PorOun Se Chunte The
Wo AnsOn Ab RulTe Jate HaiN
Jisey Tum JaaN Kehte The
Agar Wo Jaan Hi Na Ho
To Phir PhoLon Ki KhushBoO Le Ker Ana B to Kia ANa ?
K Mitti Ki Lehad Per Beth Ker Wapis Bulane Se
Koi B Aa Nahi Jata
Jo DuNiya Mai Kisi Ka Ghum Na Baante Wo Saathi Kesa ?
K PalkOn Ki Ghani JhaaLar Girne Per
Isey Rulana , Bulana , Waqt Ko IlZaam De Dena
Bari FarSooda BateN HaiN
K Tum Jaante Ho Ge
Gira AnsOn , Gaya Lamha Or PalkOn Ka Giraa Parda
Dobara Murh Nahi Sakta