|
|
Posts: 74
Country:
Join Date: Jun 2011
Gender:
|
|
Mujhe America se koi lena dena nahin hai. America ka fauj Afghanistan main ladh raha hai, Pakistan main nahin. Pakistan main sirf America ke taraf se drone hamle ho rahe hain aur woh bhee un dehshatgardon ki khilaaf jo hamare jeena haram kar ke rakha hain. Pakistan ke andar, America ne sirf ek hamla kiya hai aur woh bhee unhee dehshatgardon ki sub se bada rehnuma ki maarne ke lye. Main Osama ki baat kar raha hoon. Aaj ki haalat ko dekh kar mujhe ek baat saaf nazar aata hai aur woh yeh ke abhee tak America ne Islamabad, Rawalpindi, Lahore, Peshawar, Karachi, aur Quetta par koi drone hamla nahin kiya hai magar hamare hee mulk main chupe hue mulki aur ghair-mulki dehshatgardon ne in subhee shehron main koi na koi khoon kharaba ki zimmedaar hain. To agar hum ko defaa karna hai, to America se pehle in shaddatpasandon ke saamne defaa karna chaahiye kyon ke jitney Pakistani in ki haaton mare hain aur mare jaate hain, hisaab se bhee zyaada hai.
|