Miscellaneous/Mix Poetry !! All Miscellaneous/Mix poetry share here !! |
Advertisement |
![]() ![]() |
|
Thread Tools | Display Modes |
(#1)
![]() |
|
|||
Na Muhabbat Na Murrawat Na Sharafat Na Khuloos .. Main To Sharminda Hoon Is Daur Ka Insan Ho Kay .. ........................................ Hum Apnay Usoolo'n Say Baghawat Nahi Kartay .. Chadhtay Howay Sooraj Ki Ibadat Nahi Kartay .. ........................................ Kuch Waqt Mujhay Bhi Chahiye Khus Say Mulaqaat K Liye .. Main Har Kisi Ko Apna Pata Nahi Daita .. ........................................ Rukh Hawaao'n Ka Bhi Daikh Ay Aag Jalanay Walay .. Koi Chingari Na Ud Kay Tere Ghar Tak Pohanchay .. ........................................ Meri Zindagi Meri Manzilen, Mujhe Qurb Mein Nahin Door De .. Mujhe Tu Dikha Wohi Raasta, Jo Safar Ke Baad Guroor De !! ........................................ Lahoo Na Ho To Qalam Tarjuma Nahi Hota .. Humaray Daur Main Ansoo Zubaa'n Nahi Hota .. ........................................ Main Sach Kahoonga Phir Haar Jao'nga Wo Jhoot Bole gi Aur Lajwaab Kar Daigi .. ........................................ Barbaad-e-Gulistaa'n Karnay Ko Bass Aik Hi Ullo Kafi Hay .. Har Shaakh Pay Ullu Baitha Hay, Anjam-e-Gulistan Kya Hoga? ........................................ Kal Ki Tarha Buland Hain Sab Honslay Mere Kashti Bhanwar Main hay Kirdaar To Nahi .. ........................................ Jis Khait Say Dehkaa'n Ko Mayassur Na Ho Rotti .. us Khait Ke Har Khosha-e-Gandum Ko Jalado .. ........................................ Jo Aala Zarf Hotay Hain Hamesha Jhuk Kay Miltay Hain .. Surahi Sar-nigoo'n Hokar, Bhara Karti Hay Paimana .. ........................................ Aik Pathar Ki Bhi Taqdeer Badal Sakti Hay .. Shart Yeyy Hay K Saleeqay Say Tarasha Jaye .. ........................................ Mita Do Apni Hasti Ko Agar Kuch Martaba Chaho .. Kay Danaa Khaak Main Mil Kar Gul-e-Gulzaar Hota Hay .. ........................................ Honslay Fatah Ki Bunyaad Howa Kartay Hain .. Kanptay Hath Say Talwaar Uthaya Na Karo .. ........................................ Maqtab-e-Ishq Ka Dastoor Nirala Dekha Usko Chutti Na Mili Jisnay Sabaq Yaad Kiya .. ........................................ Khuda Kay Naam Ke Takreem Kay Alam-BarDar Khuda Kay Ghar Say Bhe Onchay Makan Rakhtay Hain ........................................ Aandhera Mangnay Aya Tha, Roshni Ke Bheek Hum Apna Ghar Na Jalatay... To or Kya Kartay ? ........................................ Tapakti Nahe Chaat, Faqat Meray Ghar Ke, Meray Des Meen Aesay Ghar, Or Bhe Heen. ........................................ Umar Bhar Karta Raha Har Shakhs Par Main Tabsaray .. Jhank Kar Kabhi Apnay Girebaa'n Main Daikhaa Nahi .. ........................................ Thandi Thandi Chao'n Ki Araish Bhi Rakhna .. Apnay Ghar Main Dhoop Ki Gunjaish Bhi Rakhna .. ........................................ Haya Nahi Hay Zamanay Ki Ankh Main Baqi Khuda Karay Rahay Jawani Teri Bay-Dagh ........................................ Baat Kirdaar Ki hoti Hay Wagarna Logo .. Qadd Main Insaan Say Saaya Bhi Bara Hota Hay .. ........................................ Hatho'n Ki Lakeero'n Main Takdeer Nahi Hoti .. Kion Kay Kismat To Unki Bhi Hoti Hay Jinke Hath Nahi Hotay .. ........................................ Kisi Sur-Nagun Si Tehni Pay Rakhain Gay Char Tinkay Na Buland Shaakh Ho Ge, Na Giray Ga Aashiyana ........................................ Na Tha Kuch, To Khuda Tha Kuch Na Hota To Khuda Hota .. ........................................ Merey Haathon Se or Merey Honton Se Khushboo jati Nahi.. k Mene ISM-E-MUHAMMAD ko Likha bht or Chuma bht!! ........................................ Ye Dunya Hay Yaha Achi Buri Har Cheez Milti Hay Kharidaro'n Main Shamil Hay To Paida Kar Nazar Pehlay .. ........................................ Taz'een Nahe Kar Saktay To Eenten Na Ukhareen Is Ghar Ka Taqaza Hay Ye, Har Eik Makeen Say.... ........................................ Museebat Ka Pahar Aik Din Kut Hi Jaye Ga .. Mujhay Deevar Say Sar Maar Kay Mar Jana Nahi Atta .. ........................................ Kaha Gaye Mujhay Toofa'n Main Chornay Walay?? Unsay Kehdo Main Sahil Par Agya Hoon .. ........................................ Sangraizo'n Ki Chubhan Ka Mujhe Ehsas Kaha'n Hay.. Main To Manzil Kay Minaro'n Pay Nazar Rakhta Hoon .. ........................................ Koi Dushman Bhi Jo Miljaye Karo Badh Kay Salam .. Pehlay Khud Jhukta Hay Auro'n Ko Jhukanay Wala!
Chal Fiqr Noo Goli Maar Yaar Hain Din Jindri Day Chaar! ![]() |
Sponsored Links |
|
(#2)
![]() |
|
|||
![]() ![]() ![]() |
(#3)
![]() |
|
|||
![]() ![]() ![]() |
(#4)
![]() |
|
|||
![]() ![]() ![]() |
(#5)
![]() |
|
|||
![]() ![]() ![]() |
(#6)
![]() |
|
||||
![]() ![]() ![]()
keep rockig bro very nice collection
![]() ![]() ![]() ALLAH FARMATA HAI : AEY BANDEY JO HUA WO ACHA HUA . JO HORAHA HAI ACHA HO RAHA HAI. JO HOGA WO BHI ACHA HOGA. TERA KIYA GAIYA JO TU ROTA HAI TU KIA LAYA JO TU NE KHO DIYA. JO LIYA YAHIN (DUNYA) SEI LIYA JO DIYA YAHIN (DUNYA) PE DIYA JO AAJ TERA HAI PEHLAY KISI AUR KA THA AUR KAL KISI AUR KA HOGA. TABDEELI KAINAAT KA MAMOOL HAI BAS TU WO JAMA KAR JO TU SATH LEI KAR JANEY WALA HAI YANI NAIK AMAAL. |
(#7)
![]() |
|
|||
![]() ![]() ![]() |
(#8)
![]() |
|
|||
![]() ![]() ![]() |
(#9)
![]() |
|
|||
![]() ![]() ![]()
forum ki baariii barrii hanstiyounnnn nay tujhay thanks kehdiyaa ba may kahu ga to achi baat nahi lolziannnnnnnnnnnn anyways keep it cummin nice
Hun mein is ada se bhi aashna tujhe itna jis pe gharoor hai mein jeon ga tere beghair bhi mujhe zindagi ka shaoor hai ![]() Yeh pathron ka shaher hey - yahan to ansoo bhi jum jate hain |
(#10)
![]() |
|
|||
![]() ![]() ![]() |
![]() ![]() |
Bookmarks |
Tags |
collection, nonishqiya, sooli |
|
|
![]() |
||||
Thread | Thread Starter | Forum | Replies | Last Post |
4 SOoli broji.... | safa | Image Poetry | 18 | 08-24-2011 03:34 AM |
4 Sooli...... | safa | Image Poetry | 14 | 08-24-2011 03:26 AM |
Dedicated 2 !~*SOoLi | ShArArTi MuNdA | Punjabi Poetry | 20 | 07-02-2011 02:58 AM |
Non-Ishqiya Poetry "3" | !~*SOoLi | Miscellaneous/Mix Poetry | 10 | 09-30-2009 01:32 AM |
Non-Ishqiya Poetry .. | !~*SOoLi | Miscellaneous/Mix Poetry | 13 | 08-09-2009 02:54 PM |