Poet: Wasi Shah
Sochta huon ke usey Neend bhi aati hogi,
ya meri Tarha faqat ashk Bahati hogi.
Wo meri shakal mera baam Bhulane wali,
apni Tasveer se kya Aankh milati hogi.
Is zameen pe bhi hai Sailaab mere Ashkon se,
mere Maatam ki sada Arsh hilaati hogi.
Sham hote hi Wo chokhat pe jala kar Shamaien,
apni Palkon pe kai Khuwab sulaati hogi.
Us ne Silwa bhi leye honge Siyah rang ke Libaas,
ab Moharram ki rarha Eid Manaati hogi.
Hoti hogi mere Bosay ki Talab main Pagal,
jab bhi Zulfon main koi phool Sajaati hogi.
Mere Taareek zamanon se Nikalne wali,
roshni tujh ko meri Yaad dilaati hogi.
Dil ki Masoom ragein Khud hi Sulagti hongi,
juon hi Tasweer ka kona wo Jalaati hogi.
Roop de kar Mujhe is main kisi Shehzaade ka,
apne Bachon ko Kahani wo Sunaati hogi...