Great Urdu Poets&Poetry Share All Great Urdu Poets Poetry Here |
Advertisement |
![]() ![]() |
|
Thread Tools | Display Modes |
(#1)
![]() |
|
|||
Sunaa hai log use aankh bhar ke dekhte hain so us ke shah’r men kuchh din Thahar ke dekhte hain sunaa hai rabt hai us ko Kharaab haalon se so apne aap ko barbaad kar ke dekhte hain sunaa hai dard kii gaahak hai chashm-e-naazuk us kii so ham bhii us kii galii se guzar ke dekhte hain sunaa hai us ko bhii hai sher-o-shaayarii se shaghaf so ham bhii mojaze apne hunar ke dekhte hain sunaa hai bole to baaton se phuul jhharte hain ye baat hai to chalo baat kar ke dekhte hai Nsunaa hai raat use chaand taktaa rahtaa hai sitaare baam-e-falak se utar kar dekhte hain sunaa hai hashr hain us kii Gazaal sii aankhen sunaa hai us ko hiran dasht bhar ke dekhte hain sunaa hai din ko use titaliyaan sataatii hain sunaa hai raat ko jugnuu Thaher ke dekhte hain sunaa hai raat se barh kar hain kaakulen us kii sunaa hai shaam ko saaye guzar ke dekhte hain sunaa hai us kii siyaah chashmagii qayaamat hai so us ko surmaafarosh aah bhar ke dekhte hain sunaa hai us ke labon se gulaab jalte hain so ham bahaar par ilzaam dhar ke dekhte hain sunaa hai aa’iinaa tamsaal hai jabiin uskii jo saadaa dil hain ban sanvar ke dekhte hain sunaa hai jab se hamaail hain us kii gardan men mizaaj aur hii laal-o-gauhar ke dekhte hain sunaa hai chashm-e-tasavvur se dasht-e-imkaan men palang zaave Us kii kamar ke dekhte hain sunaa hai us ke badan ke taraash aise hain ke phuul apanii qabaayen katar ke dekhte hain vo sarv-qad hai magar be-gul-e-muraad nahiin ke us shajar pe shaguufe samar ke dekhte hain bas ek nigaah se lutataa hai qaafilaa dil kaa so rah-ravaan-e-tamannaa bhii Dar ke dekhte hain sunaa hai us ke shabistaan se muttasil hai bahisht makiin udhar ke bhii jalve idhar ke dekhte hain ruke to gardishen us kaa tavaaf kartii hain chale to us ko zamaane Thaher ke dekhte hain kise nasiib ke be-pairahan use dekhe kabhii kabhii dar-o-diivaar ghar ke dekhte hain kahaaniyaan hii sahii sab mubaalage hii sahii agar vo Khvaab hai taabiir kar ke dekhte hain ab us ke shahar men thaharen ki kuuch kar jaayen “Faraz” aao sitaare safar ke dekhte hain
|
Sponsored Links |
|
(#2)
![]() |
(#3)
![]() |
(#4)
![]() |
|
|||
|
(#5)
![]() |
|
|||
|
(#6)
![]() |
|
|||
|
![]() ![]() |
Bookmarks |
Tags |
ahmad, faraz, hai, suna |
|
|
![]() |
||||
Thread | Thread Starter | Forum | Replies | Last Post |
muntazir kab se tahayyur hai teri taqrir ka By Ahmad FAraz | MAsooM LArKa | Great Urdu Poets&Poetry | 7 | 09-14-2011 08:48 PM |
muntazir kab se tahayyur hai teri taqrir ka Byy Ahmad FAraz | MAsooM LArKa | Great Urdu Poets&Poetry | 12 | 09-14-2011 08:47 PM |
ahmed faraz>>suna hai log usey ankh bharr k | s_sableo | Video Poetry | 14 | 08-28-2011 11:03 PM |
~*~Ahmad faraz~*~ | (¯*♥¤»ƙɧՄՏɧՅԾԾ«¤♥*¯) | Great Urdu Poets&Poetry | 12 | 08-27-2011 06:27 PM |