Your Own Poetry !!! Post Ur Own Poetry Here !!! |
Advertisement |
|
Thread Tools | Display Modes |
|
(#1)
![]() |
|
|||
yaadon ki rang birangi titlyan bohat dooor nikal gai...aise jise k sab aik doosre se athkailian kar rhi hon.........aik beithtyaar si muskarahat us k honton pe machal gai.......... mgar aik bacha in titlyon ko pakarne k lie betaab ho utha jo is ki dastaras se bohat door ja chuki thi........ phir kisi ajnabi haath ne aik titli ko pakar lia aur bache ko thamate hue usse chamkaarne laga...... jab bache ne titli chori to wo byrang ho chuki thi magar bacha apne rangeen haath daikh k khushi se khilkhalane laga............ achanak us ki aankh khul gai...magar us k maathe par soch ki gehri shiknain thi.... k achanak aik khilkhalate hue bache ka tamtamata hua chehra us ki aankhon k saamne aa gya.......aur us k honton par aik narm o dabeez si musakarahat bikhair gya....... be ikhtyari may hi us larki ne apna muwazna us titli se karna chaha......to usse khud may aur us titli may koi farq nazar nhi aaya.......jo apna rang de kar bhi doosron ki khushi may khush ho......... is k saath hi us larki ki zaat par chai hui khudtars shaam ki dhund........... aik roshan aur shafaf subha k fakhar may badal gai. ![]()
|
Sponsored Links |
|
Bookmarks |
Tags |
titlyaan |
|
|