| Miscellaneous/Mix Poetry !! All Miscellaneous/Mix poetry share here !! |
| Advertisement |
|
|
Thread Tools | Display Modes |
|
|
|
(#1)
|
|
|||
Show Printable Version
Email this Page
10-18-2008, 03:43 PM
kuch muhtasibon k khilwat main kuch waiz k ghar jati hai
ham bada-kashon k hise ko ab jam main kam kam ati hai yun arz-o-talab se kab ai dil patthar-dil pani hote hain tum lakh raza k khu dalo kab khu-e-sitamgar jati hai bedad-garon ki basti hai yan dad kahan fariyad kahan sar phorti phirti hai nadan fariyad jo dar dar jati hai han ji k zayan k ham ko bhi tashwish hai lekin kya kjiye har rah jo udhar ko jati hai maqtal se guzar kar jati hai ab kucha-e-dilbar ka rah-rau rahzan bhi bane to bat bane pahre se udu talte hi nahin aur rat barabar jati hai ham ahal-e-qafas tanha bhi nahin har roz nasim-e-subah-e-watan yadon se muattar ati hai ashkon se munawwar jati hai...
Hussain Ke Dushman Ki Sab Se Bari Baat Yeh Hai
Ke Woh Hussain Ka Dushman Hai... |
| Sponsored Links |
|
|
| Bookmarks |
| Tags |
| ghar, hai, jati, khilwat, kuch, main, muhtasibon, waiz |
|
|