Miscellaneous If you can't seem to find the right section to post? Share it all here! |
Advertisement |
![]() ![]() |
|
Thread Tools | Display Modes |
(#1)
![]() |
|
|||
me gher mei dakhil huwa tou abtak qadam jaisey larkhara rahey they. ammi ke kamrey mei bhi nahi gaya seedha jaakei bag bister pei phainka aur sofe pei dhey gaya. aisa lagraha tha jaisey jism me rooh nahi ya mai is waqt mei maujood nahi chakkar chakrahey they zehen mei ek toofaan barpa tha socho mei. socho kei gardaab me phansey phansey janei kab meri ankh laggai. Sahil beta sab kheryat tou hai.. ammi ki awaz kahein door sei ati hooi sunai di. mei nei ankhein kholi tou dekha ammi mujhey dekh rahi hain. hmmm theik hooo. nahi theik tou nahi ho bina light bina Ac chalei aake is tarha sei late gaye. change bhi nahi kia aaj. kia baat hai meri jaan. wohi mamta mei bheega huwa lehja jis kei agei meihamehsa phigal jata tha. kuch nahi ammi bus work load tha thak gaya .. mei nei muskura kar jawab dia. acha tum jaakei fresh ho mei khana lagati hoo. ji acha .... mei nei un kei hatho ko pyar kia. are u sure koi msla nahi na.. not at all ammi. mei kahtey huawy washroom mei ghus gaya. aaah aaj phir wohi sab ... subha nashta kartey huway mei nei socha khair kia karsaktey hain. kismat ke agei hamehsa majboor tha aur lagta hai kismat ko mujh sei khel ke maza bahut ata hai. acha khilari jo tehra. mei hansdia . aur ammi ko khuda hafiz kah kar gari mei beth gaya. Mera naam Sahil Shah hai. ek mutawasit tabqay sei talluq hai jaha waldein nei apni zarooratein maar kei achi taleem di. aur phir kuch karnei ki arzoo mei Sahil Shah trainee engineer sei 10 saal mei Sahil Shah CEO Alcon Group of Companies bangaya. ke bhai jis koparhnei kei lia bahar bheja huwa hai. Ammi abbu aur me. bus yahi kul kainaat. ek behen wo apne gher mei khush. per yaha tak pahanchnei ka safar itna suhana nahi jitna dekhnei walo ko lagta hai. waqt nei parwarish ki. zakhmo nei marham ka pata dia. girey tou uthnei ki himmat bhi kudh ki. dekha jaye tou 32 saal ki umr mei ek ideal life hai meri. jis ka khuwab koi bhi dekh sakta hai. per kitnei khab is beech chikna choor huway wo mei janta hoo. horn ki awaz sun kar mei nei signal sei gari aagey barhaai. shaheen center sei left turn lekei car seedha pearl continental ke parking me leigaya. tou mohtarma tashreef laa chuki hai .. halki saleti rang ki naye model ki corrolla dekh kar mei ne kudh sei kaha. ek pal ko dil kiya yahi sei palat jao...phir apne hi soch pei hansi agai Sahil sahab aap CEO hain aap ko yah sochein zaib nahi deiti . ahista ahista me lobby area mei dakhil huwa. idher udher nazr daurai shukar wo kahein dikhaai nahi deirahi. mei sofe pei neem daraz sa hogaya. koi lawn ki exebition thi. mei nei cofee ka order kia aur ek cigg nikal ke sulgaai. "ab mei ciggerette kaisey pio"....ek awaz jaisey zehen mei goonji... chonk ke mei nei idher udher dekha aur muskuradia. yadein bhi kitni ajeeb hoti hain. jeenei ka samaan bhi hoti hain aur jeenei bhi nahi deiti. aur tumhari yado ka ek ek pal ei mei nei bahut sench kei rakha hai. meri batein sun kei shayed aap ko lagraha hoga mujhey koui gham hai. nahi us ki yadein gham tou nahi na koi zakhm hain. us ki yadein bahut sukoon deiti hain. han yah alag baat hai kei mei un yado ko dil ke store me nahi rakhsaka aur agei nahi barhsaka. 9 baj gaye... mei nei ghari dekhi chalo Sahil ek aur imtihan. mei nei guzartey huway stairs pei lagei aine mei apna jaiza lia.....abtak kaafi hansome hoo waqt nei zaida asar nahi dala mujh per.. me zer lab muskuraya. Royal blue shirt black suit with stripe tie. lagraha hai mujhey tum nei tayyar kia hai. mei chalta huwa conference hall tak pahancha. ek lamhey ko qadam phir tham gaye. ander wo hogi. Sahil us ki zindagi bahut alag hai tum us kei lia jeerahey ho wo bahut agei nikal gai hai hmmmm hello guys .. me ander dakhil huwa aur bina kisi ki taraf dekhey jaakei stage pei apna laptop nikalnei laga. wo yahi kahein samei hai. nazrein uthaoga tou phir...... kia hogay hai mujhey aaj. kio horah ahai yeh. mei dekhna chahta hoo usey jee bher ke per kio nahi dekh paraha ... itna be ikhtiaar tou mei us waqt bhi na tha jab wo merie samnei thi . kareeb bahut kareeb. excuse me sir... mujhey kisi nei pukara badalna khuwasta mujhey sir utha ke dekhna para jee...... sir aaj aap ko company ki financial policy brief karni hai hmmm...right.... mei nei jawab dia. aur nazar dauraai.. aur ek pal mei phir jal gaya sara wujoood.............................. (continue)
|
Sponsored Links |
|
(#2)
![]() |
|
|||
![]() ![]() ![]() |
(#3)
![]() |
|
||||
![]() ![]() ![]() |
(#4)
![]() |
|
|||
![]() ![]() ![]() |
(#5)
![]() |
|
|||
![]() ![]() ![]() |
![]() ![]() |
Bookmarks |
Tags |
ankhein1, zakhm, zakhmkhuwab |
|
|
![]() |
||||
Thread | Thread Starter | Forum | Replies | Last Post |
~~ Zakhm gahare nahi ~~ | umair8005 | Urdu Sms | 14 | 11-21-2011 07:21 PM |
~~ Zakhm gahare nahi ~~ | umair8005 | Urdu Sms | 13 | 11-21-2011 11:02 AM |
Zakhm Ko Phool ....!! | MeOw* | Miscellaneous/Mix Poetry | 4 | 08-25-2009 01:21 PM |
Zakhm Khushnuma Daikhay .. | ~*Gillanii | Miscellaneous/Mix Poetry | 11 | 03-30-2009 02:43 PM |
* * Zakhm - e - Dil * * | umair8005 | Miscellaneous/Mix Poetry | 2 | 01-14-2009 05:41 PM |