Miscellaneous/Mix Poetry !! All Miscellaneous/Mix poetry share here !! |
Advertisement |
![]() ![]() |
|
Thread Tools | Display Modes |
(#1)
![]() |
|
|||
kisi ki ankh jo purnam nahi hai
na samajho ye ke us ko Gam nahi hai savad-e-dard main tanha khara hun palat jaun magar mausam nahi hai samajh main kuch nahi ata kisi k agarche guftagu mubham nahi hai sulagta kyun nahi tarik jangal talab ki lau agar maddham nahi hai ye basti hai sitam parvar digan ki yaha koi kisi se kam nahi hai kinara dusara dariya ka jaise vo sathi hai magar mahram nahi hai dilon ki raushani bujhne na dena vajud-e-tiragi mahkam nahi hai main tum ko chah kar pachta raha hun koi is zaKhm ka marham nahi hai jo koi sun sake 'Amjad' to suna dena ba-juz ek baz gasht-e-Gam nahi hai...
Hussain Ke Dushman Ki Sab Se Bari Baat Yeh Hai
Ke Woh Hussain Ka Dushman Hai... |
Sponsored Links |
|
(#2)
![]() |
(#3)
![]() |
|
|||
|
![]() ![]() |
Bookmarks |
Tags |
koi, saky, sun |
|
|