 |
|
|
Posts: 335
Country:
Star Sign:
Join Date: Apr 2009
Location: mumbai
Gender:
|
|
Aj mujhe kitne saalo baad muslimo ka sapna aya. Mein toh khud bhul gaya ki mein kaun hun. Sapne kitne ajeebo garibh rangeen duniya ke hote hai. Kabhi kabar yeh chand sapne mujhe asliyat dikhate hai. Toh mere is sapne ki shuruvat hoti hai boxing club mein. Bohot sare street boxing fights ho rahe hote hai. Bajume bohot sare chote ghar bhi hote hai. Mein ek ghar ke andar jata hun. Waha mujhe mera boxing club manager dikhayee deta hai. Woh hota hai waqar younis, mein us se kuch baat karne ki koshis karta hun, toh wah mujhe talta hai. Kehte hai- kya kunal, hinduo ke sath boxing nahi khela tumne? Main bolta hun nahi, main toh cricket khelne aya hun. Tabhi waha ek navjavan muslim uvak ata hai. Use waqar do teen thapad lagata hai, boxing match ke liye tayar karne ke liye. Phir jab woh bahar chale jata hai, toh mein waqar se puchta hun- kya mujhe bhi thapad khane padenge? Tabh waqar achanak waha se gayab ho jate hai.
Mein phir sapne ke dusre scene mein apne mummy ke mummy ke ghar pahuch chukka hota hun....
|