|
|
Posts: 2,387
Country:
Star Sign:
Join Date: Sep 2008
Location: Norway
|
|
Quote:
Originally Posted by HarD-RocK
Acha ALLAH tu har jagah mojood hoTa hey Lekin phir bi hum gunah kion karTay hein ? !! Aur ek BaaT kabi kabi aisa hoTa hey key koi bhokha hoTa hey ya phir koi us say ziadTi kar raha hoon hoTa hey ya phir koi bi masLa ho raha hoTa hey tu ALLAH tu sub dekh rahay hoTay hein tu phir us insan ke madad kion nai karTay hein ? ya us ko burai say kion nai rokTay hein ?
|
Very good sawal, .. Yhe to waise hi hogaya na key Adam(as) Aur hawa((as) ney who kam kyo kya jisse Allah(swt) ney mana farmaya tha.. Aghar who kam na kartey to who dunya par na atey.. Allah(swt) ko sub ilm hota hai key aghey kya hona hai.Jaise example mein Hazrat Khizr(as) ka deti hoon.. Onko Ghaib ka ilm tha, onko ALLAH(swt) ney ata kia tha.. Who jan saktey they key aghey kya hona hai.. Hazrat Khizr aur Musa (as) they, Aur Hazrat Khizr(as) ney farmaya "Ay mosa, jo mein karonga, oss par tumne kuch nahi bholne... " hazrat Mosa(as) ney farmaya thikk hai. Onka safar chal parha.. Rastey mein onho ney aik kashtee dekhi, Bohat khoobsoorat thi,kissi ghareeb ki thi.. Hazrat Khizr(as) ney oss mein surakh kar dya, Musa (as) hairaan howe aur farmaya key yhe to acha nahi kia.yhe kissi ghareeb ki kashetee thi. Lekin Hazrat Khizr (as) ney farmaya mene kaha tha key aapney nahi bolna.. Musa(as) ney farma thikk hai nehi bolonga..
rastey mein onko aik bacha mila, hazrat Khizr(as) ney ossko maar dya.. Mosa(as) shock mein agay, aur farmaya key yhe to aik masoom bacha tha.. Hazrat Khizr(as) ney farmaya.. "Ay Mosa aghar nahi merey sath chal saktey to abhi khatam kar detey hai".. Mosa (as) ney farmaya .. mein nahi bolonga..
Aghey jatey hai to, aik deewar si bani hoti hai, Hazrat Khizr(as) oss deewar ko ghiira detey hai... Phir Mosa(as) ney farmaya key yhe kya kia..
Phir Hazrat Khizr(as) farmatey hai key..
-mene jo kashti mein surakh kia, who islye kya key who kissi ghareeb ki kashti thi, aur aik baadshah hai ossney akar sub khoobsoorrat kashtion ko utha kar le jana tha,.. Mene surakh kia key who jub ay gha to baiqaar samjhey gha kashti ko phir nahi uthay gha.. Aise ghareeb ki roozi nahi jay ghi..
-Bachey ko mene islye qatal kia, kyo key ossney bara hokar aapney waledein ko KAAFIR kar dena tha.. Allah(swt) onko aur ulad de gha..
-Iss deewar ko mene iss lye ghiraya kyo key idhar yaatimo ka maal tha.. Issilye ghira di key koi utha na ley..
.. Aise hi Allah(swt) ko ilm hota hai key aghey kia hona hai,, Humey oss waqt dukh hota hai lekin humari behtaare key lye hi hota hai..
.. Rahi baat Ghuna karney ki.. Iss dunya mein haar insaan ghuna karta hai, kuch chotey ghuna aur kuch log barey ghuna kartey hai.. Jo barey ghuna kartey hai who SATAN key dost hi samajh lo..
ALLAH(swt) oss insaan ko sida rasta dikhata hai jo side rastey par lagna chahta hai.. Example yaha mein SCHOOL ki deti hoon.. AIK teacher ossi student par ziada ghaur karta hai jo parna chahta hai... Phir hum teacher ko blame to nahi de saktey key humey exams mein achey nr nahi miley.. Jub hum khud nahi parthey they..
ALLAH(swt) farmata hai" ay merey bandey to meri taraf 1 qadam bara, mein teri taraf 10 baraon gha.."
..
I hope U got the answers..
.. Baqi ALLAH(swt) behtaar janey wala hai..
|