|
|
Posts: 2,387
Country:
Star Sign:
Join Date: Sep 2008
Location: Norway
|
|
Aik insaan ki kya khuwaish hoti hai???.. K osska acha ghar hoon, car hoo.aik acha job hoo.. . Aour apni family hoon.. Phir buss yhei zindagi hai.. Complete hai hum insaano k lye.. Doston ka rishta nibana hai, families mein koi narazagian nahi honi.. In sub pehlo ko madenazar rakhtey hai hum..
Hum aapni zindagi mein kya nahi chahtey???.. Jiss cheez par dil ajay.. Hum osskey pichey hi parh jatey hai.. Aour tub thak "give up" nhi kartey jub thak woh cheez mil nahi jati.. Aour aghar nahi milti.. to khudkushi par uthar atey hai.. Aapni zindagi achi nahi lagtiii.. Chahe woh aik insaan hoon yha koi cheez istamal k lye.. ,, Aik hadith mein hai k .."Dua mein aapni maut kabhi na mango".. Lekin hum insaan aapney NAFS par qaboo nahi patey.. Sirf aapni khuwaishaton k pichey lagey howey hai.. Achi studies hoo.. Sub kuch perfect hoon..
Lekin hum aik cheez bhool jatey hai jub hum aapni khuwaish k pichey baghtey hai.. Aour woh hai... Roze-e-Qayyamat.... Aapney Allah ko bhool jatey hai .. Hum insaano k paas kuch ziada ajay.. To hum mein ghuroor ajata hai.. Aour ossi gjhuroor mein.. Aour aapney NAFS par na qaboo paney ki wajha se hum Allah (swt) se door ho jatey hai..
Yhe zindagi sirf achi parhai.. Ghaar.. Yha car se nahi milti.. Balkey Allah(swt) ko raazi karney se milti hai.. Humey chahie hum haar woh kam karey jissey Allah(swt) khush hoon.. Humarey nabi Sww khush hoon.. Qayyamat waley din .. Humarey nabi Muhammad(sww) ko sharmindagi na hoo yhe kehtey howey k .. "yhe meri Ummah hai"..
Hamesha ajazii mein raho.. Kya pata aaj aapkey paas woh cheez hai.. Kal na hoon..
Yhe topic aisi hai k kabhi khatam nahi hosakti..
Allah(swt) hum sub ko achey amal karney ki tofeeq de.. AMEEN..
Last edited by Humaila; 05-31-2009 at 01:30 AM..
|