sachaa waqeaa - MeraForum Community.No 1 Pakistani Forum Community

MeraForum Community.No 1 Pakistani Forum Community

link| link| link| link| link| link| link| link| link| link| link| link| link | link | link | link | link | link | link | link | link | link | link | link | link | link | link | link | link | link | link | link| link| link| link| link| link| link| link| link| link| link| link| link| link| link| link| link| link| link| link| link| link| link| link| link| link| link| link| link| link| link| link| link| link| link| link| link|
MeraForum Community.No 1 Pakistani Forum Community » Literature » Urdu Literature » sachaa waqeaa
Urdu Literature !Share About Urdu Literature Here !

Advertisement
 
Post New Thread  Reply
 
Thread Tools Display Modes
(#1)
Old
waheed ahmed waheed ahmed is offline
 


Posts: 1,687
My Photos: ()
Country:
Join Date: Mar 2014
Gender: Male
Default sachaa waqeaa - >>   Show Printable Version  Show Printable Version   Email this Page  Email this Page   12-26-2014, 05:48 PM



ye waqeaa mere aik dost ne sunayaa thaa so aap bhi sunye
pnjabi ki aik misaal he,,,,JeDra canGhDr ay O cHangaa naee,,,,,,JeDra Changaa ay O cHHangDr naee


>>ReshmaaN ne Jab aankh kholii Khana badosHoN kaa changhar qabeela Ju roz nyaa shaHr badlte rehte thay ReshmaaN ka khandan kabhi kaheeN tiktaa na thaa....youN ghoomtay phirte reshmaaN ka qaflay ne
GujraNwala aur sialkot ke dermyaaN aik baday qasbay balke gaaouN maiN padaoo dala is doran reshmaaN 18 sal kii umer ko phuNcH chukii thii Khobsoorat aur shokH chanchal reshmaaN pe qabeele ke kayii mardouN ki nazer thii .


<<Bashir Jett qabeelay ka khoobroo nojawan aur in ka pesha khati badii thaa bashiir ke khandan ki kafi zameen thii ye ilaqa bt zarr khaiz he kch maiN punjab ke is ilaqe ke pas manzar ke bare maiN aap logouN ko batata hoN ,,,Derya-e-raawii india ke bara Bhangal district Kangraa Himachal pardesh se nikaltaa he aur pir pakistan maiN dakhil hota he ar derya e sind tak pNhcane maiN ye derya 470 mile ka fasla tay karta he aur derya-e-rawi se aik nala jise suwaa bi kete aiN wo bashir ki zameeno se gzarta he yani himalya PahadrouN se ye ilaqa 150 ya 200 miles ho gaa.......YahaaN ki kas paidawaar cawal ar gandm haiN.

ReshmaaN ki jawaani pe aik shair arz e,,,
dekhii aiN shahr bher maiN Badii kaafir jawaaniiyaaN
Lekin ju us pe aayii jawaanii ghazab kii thii

Bashir ne jab reshmaaN ko dekhaa aur reshmaaN ne Basiir ko dekha nazar se nazar takraaii aank mataka
shru huwa haahahaha.....ye sachi kahani he ye koi film ki kahaanii naii he aik shair arz he

Raja bhi lawjawaab thaa sehraa-e-ishq kaa
lekin dyaar e husn ki rani ghazab kii thii

dosto ye ju koh e hamaliyaa ka ju silsila he jahaaN se hindo o pak ke sab derya nikalte haiN ye silsila koh e hindoo kash hazaroN miles maiN phaila huwa he aur yahaaN sadyoN se berf jamii huwi he garmyiuoN ke mosam maiN kuch berf piglti he tu sailab waghaira aate haiN ye sab aabi guzer gahaiN ubalne lagteeN haiN aur sath barish ka silsila bhi buht hota he wahaaN itnii berf he ke agar sarii dunyaa ke atom bamz wahaaN phaink diye jaaeN tab bhii berf khatam naii ho gii lekin Pakistan panii maiN doob jaaye gaa....

acha tu ReshmaaN aur bashir ne aik dosre ko pasand ker liyaa aur baat ankh matake se mlaqatouN tak aaii aur phir aik din reshmaaN Bashir ke sath faraar ho gaii tab reshmaaN ke ghar wale buht
preshaan huwe qabeele ke dosre merdouN ne jin ki reshmaaN pe nazar thi reshmaaN ke baap ko khoub laan
taan kii ab reshmaaN ka qabeela Bashiir ke ghar ke bahir jaa ker baitH giaa aur kahaa ke hamari Ladki wapis karo
idher Ladkii bilkul wapis jane ke liye razi na thii lekin reshmaaN kaa baap bhii us ko wapis liye baghair wahaaN
se hatne pe razi na thaa .. Ladke walouN ne police ko ittilaaH kii police aaii Ladki ne byaan diyaa ke wo nai jaye gii...police bi wapis chalii gaii ...ab reshmaaN ke baap ne reshmaN se kahaa ke wo agr wapis na aai tu wo mer jaye gaa...ye sun kar reshmaaN wapis jane pe majboor ho gaii aur wo wapis chali gaii...thoday din hi guzre thay ke dono ko aik dosre kii yaad satane lagii.lekin ladke ke baap ne sakhti se apne ladke ko mana kiya aur dobara reshmaaN se milne per mana kiya lekin bashir na manaa us ne kaha kuch bhi ho jaye dunya idher ki udher ho jaye wo us khana badosh ladki ko nahi chor sakta.........

tu aik bar phir reshmaaN ar bashir dono wahaaN se fraar ho gaye aur is dafaH zalim samaj se buht door
kisi naye thikane pe rehne lagay is doran reshmaaN ka baap aur us ke qabeelay ke chend log asleha le ker
bashir ke ghar gaye ar jhgdaa kiaa ar reshmaaN ke baap ne bashir ke baap pe fire khol diya aur us ka
murder ker diyaa ...aur reshmaaN ke baap ko pata thaa ke ab bashir zaroor gaaoN maiN aaye gaa aur
mujhe nahi choray gaa tu us ne bashir ke murder kaa plan bana liyaa aur ghaat laga ke ye sab chup gaye
jab bashir ko pata chalaa tu ye dono gaaoN wapis aa rahe thay tu reshmaaN ke baap ne aur us ke sathiyoN ne reshmaan aur bashir pe fire khol diya aur dono ka murder ker diyaa aur chup gaye lekin police ne in sab ko dhond nikalaa aur case chalaa in ko sazaye mout huwii aur umer qaid maiN tabdeel
huwii q ke sazaye mout pe pabandi thi us waqat leHaza ab ye umer qaid ki saza bughat rahe haiN jail maiN haiN.

is waqea se koi sabaq zaroor nikalta he agar socha jaaye....muashre maiN kese insan ko zindagi
gzarnii chahye aik jahil mashre maiN khoud ko kese adjust karna chahye......

the end.

 


Last edited by waheed ahmed; 12-27-2014 at 02:28 AM..
Reply With Quote Share on facebook
Sponsored Links
(#2)
Old
waheed ahmed waheed ahmed is offline
 


Posts: 1,687
My Photos: ()
Country:
Join Date: Mar 2014
Gender: Male
Default Re: sachaa waqeaa - >>   Show Printable Version  Show Printable Version   Email this Page  Email this Page   12-27-2014, 02:34 AM

mazmoon nigarii ki aik koshish ki he..baqi filhaal ye mshkil kam he nam sare dfarzi haiN ar ilaqe ka nam bhii maiN ne nai likha.....

 

Post New Thread  Reply

Bookmarks

Tags
sachaa, waqeaa


Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off


All times are GMT +5. The time now is 07:09 PM.
Powered by vBulletin®
Copyright ©2000 - 2025, Jelsoft Enterprises Ltd.

All the logos and copyrights are the property of their respective owners. All stuff found on this site is posted by members / users and displayed here as they are believed to be in the "public domain". If you are the rightful owner of any content posted here, and object to them being displayed, please contact us and it will be removed promptly.

Nav Item BG