 |
|
|
Posts: 353
Country:
Star Sign:
Join Date: Aug 2013
Location: multan
Gender:
|
|
Muhabbat k safar me jab wafa ka silsila likha
to tujh ko apni hasti ka akela aashna likha
zamane ki adawat ne kafir tak kaha mujh ko
phir b meri chahat ne tujhe sab se juda likha
mere jazbo ki taqat ko koi b samajh na paya
kisi ne ibteda likha
kisi ne inteha likha
teri hasti qayawat thi ya koi saher tha tujh me
k khud taqdir me tujh ko dua ka mojza likha
meri dharkan ki bandish pe zamane k maseeha ne
muhabbat ko gham likha tujhe us ki dawa likha.
|