Assalam Alaikum
Insan ki fitrat hai ke wo insaan sei mutasir hota hai. wo jis sei muhabbat karta hai us ke ausaaaf apne ander na chahtey huway bhi mahsoos karta hai. waisa nazar ana chahta hai us ki tahra guftugoo us ki tahra ka style leina chahta hai. yahi waja hai ke hum aaj kisi celeb, kisi player kisi na kisi ko copy karney ki koshish me hi lagei rahtey hain .. kaprey ho hair style hon ya phir aur andaaz.
bahasiyat musalmaan merei aur aap ke lia touching stone Muhammad ki zaat hai.. ek mukammal inaan jis ko ger dil me utaarlein tou kisi sei insaan mutasir ho hi nahi sakta. isi lia unki seerat ka baar baar mutalliya karna chaiye taakei wo ausaaf hamaeri ander ek ek karkei atey ain. ek rang aisa jis ke baad koi rang qubool nahi h oga.
again i dont want u ppl to comment on this post but read it ..
yeh total 8 khutbaat hain i will share all one by one. aur koi ek shaks bhi is ko parhey aur apne ander ek choti si bhi tabdeeli laaye merei lia bohat h ai.
ایک تیرا ہجر جو بالوں میں سفیدی لایا
ایک تیرا عشق جو سینے میں جوان رہتا ہے
And Allah is All Enough For Me (Al-Quran)