Farsh-e-malmal per sonay walay ek din qabar mein sona paray ga
Apnay aamal ka jaiza ley warna qabar mein rona paray ga
Chhor dey zindagi ka yeh mela jaye ga tu yahan se akela
Khoobsurat haseen yeh badan hey is ko beyjaan hona paray ga
Char yaaron kay kaandhay per jis din tera janaza niklay ga
Pehan ker ek kafan ka jhora jab janazay per sona paray ga
Khaak ka bana yeh jism tera khaak mein hi mil jaye ga
Ek roz yahan per tu aaya aur ek roz tujhay jana paray ga
Main bhi kitni pagal hoon na
Sang hawa k urna chahoon
Titli ban kar nagri nagri
Gulshan Gulshan phirna chahoon
Phooloon k sab rang chura kar
Chunri apni rangna chahoon
Main bhi kitni pagal hoon na