MeraForum Community.No 1 Pakistani Forum Community - View Single Post - عید میلاد النبی ﷺ کی شرعی حیثیت
View Single Post
(#24)
Old
Shaam Shaam is offline
Shaam
 


Posts: 5,120
My Photos: ()
Country:
Join Date: Dec 2008
Location: some where near somebody
Gender: Male
Default Re: عید میلاد النبی ﷺ کی شرعی حیثیت - >>   Show Printable Version  Show Printable Version   Email this Page  Email this Page   06-26-2011, 04:12 AM

well Allah ke nabi ke amad ke din per hi ikhtilaaf hai koi 8 kahta hai koi 9 aur koi 12.

no 2 yah baat sahi hai ke kisi sahabi ne aisa koi din nahi manaya na NABI saw ne apni zindagi me aisa koi amal kia. (saligirah mananey walei bhi is ko samjhein )

ek aur baat yah ke Rasool Saw apne tareef karwaney ke lia nahi aye they unki tareef Allah ne kardi . unke anei ka maqsad kuch aur tha wo samjhein

is ke alawa yah ke Quran ke jo hawalei ya jo references diye gaye hain wo sab mubham hain. koi ek ulma e tafaseeer ka hawala diya jaaye.. ?

phir kia musalmaan sarei hind o pak me rehgaye hain /

Allah ne Quran me musalmano ke lia 2 eid ka kaha hai
us me takhfeef karna bila shuba ghalt hai


Aap saw ki paidaish waqai ek bohat bari naimat hai aur us din Allah ka shukr ada karna chaiye lekin SHUKR ki definition kia hai
?


Allah ki naimato ko paake us ki na farmaani na karna shukr hai,,,


poorei mulk me chori ki bijli sei aur phir jaali khana e kaba ki ko rakh kar tawaf karna shukr hai ?

aur phir jitni lighting aur jitna kapra yaha istimaal hota hai aap saw kuch hotey tou us ko aisey jhandey bananey me zaya kartey yah kahtey ke aaj meri ummat ka yah haal hai ke wo apne bachey bech rahi hai
jaakei yah waha taqseem kardo
yahi meri viladat ka maqsad hai.


Wallah Aalam