|
|
Posts: 393
Country:
Star Sign:
Join Date: Jan 2012
Gender:
|
|
Ana ka tauq haa'il hay jo gardan kham nahin hoti
wagarna tujh say aay zaalim mohabbat kam nahin hoti
Judaai kaat'ti hai khoon kay aansoo rulaati hai
tapish pindaar ki hai aankh jo purnam nahin hoti
Firaaq e yaar main jalna bura hai kyun keh yeh aatish
Woh aatish hai keh lou jis ki kabhi madham nahin hoti
Bacho kaafir nigaahon say nami in shokh aankhon ki
asar tezaab ka rakhti hai yeh shabnam nahin hoti
Kisi fankaar kay khoon e jigar ka josh hai warna
ragon main zindagi kay dorti sargam nahin hoti
Badi aakhir badi hai keh sako ya maslehat dekho
rah e naiki badi ki raah main mudgham nahin hoti
|