|
|
Posts: 113
Country:
Join Date: Nov 2009
Location: lahore
Gender:
|
|
Mukammal dou he dano par ye tasbeehe muhabat hai
Jo aye teesra dana tou yeh doori toot jati hai
Mutiyan wakat hota hai muhabat ki namazoon ka
Adaa jinn ki nikal jaye kaza bhi chooot jati hai
Muhabat ki namazoon main imaamat aik ko sonpyen
issy taknay usay taknay say niyat toot jati hai
Muhabat dill ka sajda hai jo hai toheed par kaiyam
Nazar ke shirk waloon say muhabat rooth jati hai
|