|
|
Posts: 12,488
Country:
Join Date: Jul 2010
Gender:
|
|
suna ho ga bohat tum ne
kaheen ankho ki rim jhim
kaheen palkon ki shabnam
parha ho ga bohat tum ne
kaheen lehjey ki barish
…kaheen sagar k ansu
magar tum ne kabhi humdum
kaheen dekhey? kaheen parkhey?
kisi tehreer k ansu
mujhe teri judai ne
yehe mehraj bakhshi hai
k main jo lafz likhta hon
wo sarey lafz rotey hain
k main jo hurf bunta hon
wo sarey ben kartey hain
mere sang iss judai main
mere alfaz rotey hain
subhe tahreef kartey hain
meri tehreer ki lakin
kabhi koi nahi sunta
mere alfaz ki saski
falak b jo hila daley
mere lafzon main hain shamil
ussi taseer k ansu
kabhi dekho mere humdum
meri tehreer k ansu….!
|