Aaj koi nehin mahfil main
sirf tum ho aur main hun ...
kahedo dil ki baat apni
jis baat se main anjaan hun...
itne kareeb aajao ki
hume aur koi sun'na paye
pyar itne ho hum dono main
Ki zindegi ke maine badal jaye
Aap ki duniya hamare naam thi
Aap ke bin zindagi kis kaam ki
Aap ne hum se taalluq torr kar
Ghair se rasm-e-muhabbat aam ki
Umr bhar nisbet rahi jo aap se
Aik pal mein doosrey ke naam ki
Zindagi be-kaar ho ke reh gai
Saans chalti hai bara-e-naam ki
Khud se baigana banaya aap ne
Yaad hai Allah ki na ram ki
Ab to bus ik maut ki hai arzoo
Aish ki daulat ki na araam
Jaane kitne kar liye hum ne gunah
umr kaati moorad-e-ilzam ki
ab to Hassan sabhi kuch kho diya
muft mein hum ho gae badnaam bhi