|
|
Posts: 29,879
Country:
Star Sign:
Join Date: Sep 2010
Gender:
|
|
Jaane kya hai dil ke andar jo chupke se toot raha hai
Ek meherbaan ka haath jaisey hathon se cho'ut raha hai
Lamha lamha guzar ke dafan ho raha hai seene main
Seh kar ye dard kuch ajaab maza aane laga hai...!
Jaane yeh kis rehguzar ki taraf qadam humne barhaaye hain
Jaana tha kis manzil par, jaane kis aor nikal hum aaye hain
Ek khalish hai dil ko ghere, ek ajaab si khamoshi chaayi hai
In chubhti tanhaaiyon main Aaj yaad teri bohot Aayi hai...!
|