MeraForum Community.No 1 Pakistani Forum Community - View Single Post - Ek sawal..
Thread: Ek sawal..
View Single Post
(#5)
Old
Shaam Shaam is offline
Shaam
 


Posts: 5,120
My Photos: ()
Country:
Join Date: Dec 2008
Location: some where near somebody
Gender: Male
Default Re: Ek sawal.. - >>   Show Printable Version  Show Printable Version   Email this Page  Email this Page   11-04-2010, 01:15 PM

well as i started this topic so i have to finish it aswell.
hmmm
emm amazed as i have been asked this question several times by the muslims and non muslims in different social profiles and in other interaction i made.

is ka jawab jannei sei pahlei prophet SAW ki physical appearence aur personality ko dekhtey hain. unke barei me rawi JASEEM aur QASEEM jaisey lafz likhtey hain jinke matlab hotey hain "jis ko dekh kar dil na bhaerey" aur "ek baar dekho tou baar baar dikhnei ka dil karei" is ke alawa ummul momineen hazrat Ayesha Siddiqa (RZ) farmati hain " ger bani israil ki aurtein aap SAW ko dekh leiti tou unglio ke bajaaye dil kaat deti".
mukhtalif muqamaat pei sahaba e karam aur sabiyaat ke mutabiq aap saw husn me apni misaal aap they, koi unkei chand sei mushabihat deita koi kahta unke chahrey sei ek noor phoot ta tha.
aur App SAW ne kudh farmaya mujhey jin chezo ke aam logo sei foqiyat di gai hai us me ek mardangi bhi hai.

ab ek aisa insan jis ki itni tareef ki jaaye sirf physical apperances ki wo 25 saal ki umer me ek 40 saal ki khatoon sei shadi karei aur umr ke 25 saal unek sath guzardei (hazrat khajida RZ ka wisaal huwa tou aap SAW ki umr e mubarak 50 saal thi).
aisa shaks dunya ki khuwahish karsakta hai yah baat baeed ul qayas hai.

secondly ab us ke baad unho ne pei darpey shadia kio farmyein.
ek line me us ka jawab yah hai ke us time ahkamaat e ilaahi ka nuzool shuru hogaya tha aur musalmano me pardey ke ahkaan bhi nazil hogay they tou khawteen is ke alaawa bhi bohat sei masayil fitri sharam o haya ki waja sei be jhijhak hoke nahi pooch sakti thi direct aap SAW sei tou un khawateen me tarweej e deen ka best tareeka yah ajwaaj thein jinho ne apne apne halqay me wo tamaam tor tareqqay pohanchaaye jo unho nei aap SAW ne khulwat me aur samnei sunei aur seekhey.

phir aap saw ka her nikah kisi waja sei huwa
like hazrat zainab sei nikah huwa tou arab me moun bolei betey ki mutalliqa sei shadi ki taseeh hooi
hazrat hifza sei shadi hooi tou unke qabilei ko musalmano ne ahtraman chordia
aur bohat si misaalein hain

tou beherhaal yah kahna ke aap saw naoozo billah ayash they (MAAZ ALLAH) sirf jazbaat sei hut kar aqal ke pairay me sochein tou bhi nafi hi hoti hai.

beherhaal i hope kal ko ger hum sei kisi ke samnei yah sawal aye ga tou wo us ka bahter jawab deisakta hai : )