|
|
Posts: 84,290
Country:
Star Sign:
Join Date: Aug 2008
Gender:
|
|
Itna toota hoon k choonay say bikhar jaonga,
Ab agar aur dua dogey to mar jaonga !
Poch kar mera pata, waqt roye gaa na karo,
Main to banjara hoon, kya janay kidhar jaonga !
Har taraf dhund hai, jugnu hai na charagh koi,
Kaun pehchanay ga, basti mein agar jaaoonga !
Zindagi, main bhi musaafir hoon teri kashti ka,
Tu jahan mujh say kahe gi main utar jaonga !
Phol rah jayein ge guldaan mein yadon ki nazar,
Main to khushbo hon fizaon mein bikhar jaonga !
Itna toota hoon k choonay say bikhar jaonga,
Ab agar aur dua dogay to mar jaonga

Last edited by SHAYAN; 12-02-2008 at 11:23 PM..
|