MeraForum Community.No 1 Pakistani Forum Community - View Single Post - can NET FRNDS be TRUE FRNDS?
View Single Post
(#68)
Old
Shaam Shaam is offline
Shaam
 


Posts: 5,120
My Photos: ()
Country:
Join Date: Dec 2008
Location: some where near somebody
Gender: Male
Default Re: can NET FRNDS be TRUE FRNDS? - >>   Show Printable Version  Show Printable Version   Email this Page  Email this Page   09-22-2010, 03:39 PM

well
kaaf logo ne batein ki
mukhtilf sochein
tajurbat
apne apne khaylaaat
aap sab soch ke atey ho ke dhoka doge ya khao gei ?

hmmmm
mera nahi khayal koi bhi aisa soch ke ata hoga
per phir bhi
wajaaaa
hmmmm

gher me rahtey ho
waldein
behen bhai
aur rishtey daar
soher biwi bachey
ikhtilaaf hota hai ?
chordtey ho ?
naraz hotey ho
kinara karletey ho?
nahi ?
kio ?
kio kei sincerity pe shubha nahi hota
han do different insan hai
soch saktey hain
2 different tareeko sei
chalo wo tou waldein behen bhai aur TRUE relationship hoti hain
waha aisa kio nahi kartey keapni soch chor kar unki tarha sochne lago
nahi karsaktey na
tou yaha bhi nahi karsaktey
han waha naraz hojatey ho
bura lagta hai
2 4 roz moun phoola rahta hai
thats it


per yaha sab log perfectness kio expect kartey ho
samnei wala shaks meri zaat ko samne rakh kar desing nahi huwa
us sei ikghtilaaf hoga
hazaar baar hoga
samjho
jab un rishto ki khuloos ke yaqeen pe qayim rakhtey ho
tou yaha kia msla hai bhaiyo aur behno ?
chalo turn the table
tum waisey karlo jaisey samne wala expect karta hai
hmmmm
comon DOST waqai her koi nahi banta
per dosti kia hamehsa agree karne ka ya
expectation poori karne ka naam hai
kia koi bhi relation shi expectations pe depend karti hai ya khuloos per
sacrifice per
socho kab kis ko chora aur kio
100% answer batadeta hoo ikhtilaaf ki waja sei
tou chor do waldein ko bhen bhaio ko shoher biwi ko sab ko




SALMAM yeah agreed samjhna mushkil hai
per na samjh ane ke base per rishtey tor diye jatey hain
unko jhoota samjhne lagtey hain aap
mei apnei baap ko nahi samjh paya aaj tak
tou wo sacha baap nahi ?


hairat hai

koi samjhey

rishtey khuloos per bantey hain koi sa bhi
behen bhai ka
ma baap ka
shoher biwi ka
dost dost ka

ger khuloss niyat achi hai tou ek ghalt hogi
theik phir khayal rakhta hai banda
ghalt fehmio ka azala karta hai
sunta hai
sunata hai
achey lamho ka hisab rakhta hai
burey waqto ko ignore karta hai
kia aisey hi sab nahi nibhaatey ?


tou yah asoch ke atey ho ke bus
I QUIT ka banner hath me leikei rahooga ?
jaha moqa mila
I QUITTTTTTTTTTTT

comon guys
REMOTE talluq tou bandey aur RAb ka bhi hai
REMOTE talluq tou rooh sei jism ka bhi h ai
REMOTE talluq tou insan ka apne rohani peshwa sei bhi hota hai


samjhne ke lia waqt darkaar hai
ghaltia hoti hain
per I QUIT hmmm : )

koi samjhey zara
khuloos shart hai
perfectness nahi
warna me kudh ko doghla kahooga
ke apni zindagi me merei criterias diff hain
aur yaha different.....


koi samjhey zara


 




ایک تیرا ہجر جو بالوں میں سفیدی لایا
ایک تیرا عشق جو سینے میں جوان رہتا ہے


And Allah is All Enough For Me (Al-Quran)

Last edited by Shaam; 09-22-2010 at 03:42 PM..