~* Eid Ka Bayan Ahadees Ki Roshni Men *~
Huzoor Sarwar-e-Kaainat (S.A.W.) Eid Ul Fitar k Din Jub tak Chand CHoharay Na Kha Lete Eid Gaah ki Taraf Na Jatay , Or Wo Choharay Taaq Adad ( 3,5,7 ..) men Khatay.
( Sahi Bukhari Jilad Awwal )
Aap (S.A.W) Eid par Wapisi Par Raasta Badal kar Atay .
( Sahi Bukhari Jilad Awwal )
Aap (S.A.W) Eid Ul Fitar or Eid Ul Azha Men pehle Namaz Parhte the , Phir Namaza k Baad Khutba kehte Thay.
( Sahi Bukhari Jilad Awwal )
Aap (S.A.W) Ne Fitrana ( Sadqa ) KO EiD Ul Fitar ki Namaz Se Pehle Ada Karne ka Hukam Farmaya .