|
|
Posts: 9,603
Country:
Star Sign:
Join Date: Jul 2010
Location: KARACHI
Gender:
|
|
ishq men bhi merna itna asaan nahi
zaat ko rad karna itna asaan nahi
mujh men aisi hi khami dekhi us ne
tark e wafa warna itna asaan nahi
aek dafa to pas e maseeha kar jaey
zakham ka phir bharna itna asaan nahi
jane kab shorat ka zeena dhe jaey
paaon yahan dharna itna asaan nahi
marne ki dehshat to sub ne dekhi hai
jeene se darna itna asaan nahi
perveen shakir
|