Saarey waadon ko bhula sakta hun,
lekin rehne do..!
Main tumhein chor k ja sakta hun,
lekin rehne do..!
Tum jo har morr pe keh daitey ho khuda hafiz,
faisla mein bhi suna sakti hun,
lekin rehne do..!
Tum ne jo baat ki dil ko dukhaney wali,
us per main muskura b sakta hun,
lekin rehne do..!
Sharam aaye gi tumhein
warna tumharey waaday,
main tumhein yaad dila sakta hun,
lekin rehne do.
[SIGPIC][/SIGPIC]
~~KING~~
Ek ajeeb sa manzar nazar aata hai,
Har ek qatra samandar nazara aata hai,
Kahan banaaon main ghar sheeshey se,
Har kisi ke hath mein pathar nazar aata hai..