waqt-e-aakhir jism se aur kya nikle...?
na hasrat-e-deedaar-e-yaar, na vasl ki hi ab dua nikale...
har pal sang the tumhaare, dekho hum hi bewafa nikale...!
jism ko jaaN ki zaroorat hai bahut, lekin kya kareN...?
zindagi naam likhi tere, khud se kab hum ba-wafa nikle...?
kabhi kehte the, jee hai ke bharta hi nahi dekhkar...
phir aaj, dekhkar hume tum kyu khafa-khafa nikale...?
tha khatka i's dil ko koi, jo haal-e-dil byaaN na hua...
zara to sabr kiya hota, yuN mehfil se kyu tanha nikle...?
dil to pehle hi tha tumhaara, jate hue jaaN bhi le gaye...!
baqi ab dekhna raha, waqt-e-aakhir jism se aur kya nikle...?
kuchh hi gul ba's khi'le the abhi baagicha-e-dil meiN...
milkar dekhe the jo khwaab, vo bhi zaalim, juda nikle...!
gunehgaaroN ka bhi gunehgaar hua dekho ye
aur saza mili aisi, na maut aaye dum bhi zara zara nikale...!