MAA Sath Ha to Saya-e-Qudrat Bhi Sath Ha.
MAA k Bagher Lagay Din Bhi Raat Ha.
Ma Door Jaon To Uska Mere Sar Pe Hath Ha.
Mere Liye To Meri MAA Hi kayenat Ha.
Daaman Mein MAA k Sirf Wafaon k Phool Hain.
Hum Saray Apni MAA k qadmon ki Dhool Hain.
Aulad k Sitam Usay Hans ker Qubool Hain.
Bachon ko Baksh Dena Hi MAA k Usool Hain.
Din Rat Us Ne Paal Pos k Bara kia.
Girne Laga to MAA Ne Mujhe Phir khara kia.