Ham jo Paunchay Sar-e-Maqtal to Ye manzar Dekha
Sab se Ooncha tha jo Sir, Nok-e-Seena per Dekha
Ham se na pooch keh Kab Chaand Obharta hai Yahan
Ham ne Suraj bhe tere Shehr me aa ker Dekha
Peyasi Yaaden Ab Os Morr pe le aayi hen
Ret Chamki to Ye samjhey, Samandar Dekha
Itna Be-Hiss keh Pigalta hee na tha Baato'n sey
Aadmi tha keh Tarasha hoa Pather Dekha
Dukh hee Aisa tha keh Roye Aisey MOHSIN warna
Gham Chupa ker Osey Hanstey hoye Aksar Dekha
.
Ajab Tamasha-Gar Hain Matti k ye Putlay "SAQI"
Bewafai Karo to Rote Hain, Wafa karo to Rulate Hain