"GHAZAL"
Labon pe harf na koi sawal rakhta tha.
Kabhi main zabt main itna kamal rakhta tha.
Khabar kahan thi mujhay hi wo bhool jaye ga.
Ek ek cheez jo meri sambhaal rakhta tha.
Bichartay waqt bazahir to kuch na bola tha.
Magar nigah main so so sawal rakhta tha.
Wo muskura k bohat dair chup raha.
Jaise hansi ki aar main malaal rakhta tha.
Suna hai ab loag usay bohat satatay hain.
Jis aik shaks ka MAIN bohat khayal rakhta tha.
Tere Dil Main Meri Sanso Ko Panah Mil Jaey
Tere Ishq Main Meri Jaan Fana Ho Jaey