|
|
Posts: 35
Country:
Join Date: Dec 2009
Location: dil ma
Gender:
|
|
Na dag-magaaye kabhii ham wafaa ke raste main
Charaagh ham ne jalaaye hawaa ke raste main
Kise lagaaye gale aur kahaan kahaan thahere
Hazaar ghunchaa-o-gull hain saba ke raste main
KHUDA kaa naam koii le to chaunk uthte hain
Mile hain ham ko rahbar KHUDA ke raste main
Kahiin salaasil-e-tasbeeh aur kahiin zannaar
Bichhe hain daam bohat mud'aa ke raste main
Abhii wo manzil fikr-o-nazar kahaan aaii
Hai aadmii abhii jurm-o-sazaa ke raste main
Hain aaj bhii wahii daar-o-rasan wahii zindaan
Her ek nigaah-e-ramuuz aashna ke raste main
Ye nafraton kii fasiilain jahaalaton ki hisaar
Na rah sakain ge hamaarii sadaa ke raste main
Mitta sake na koii seel-e-inqalaab jinhain
Wo naqsh chhorre hain ham ne wafaa ke raste main
Zamanaa ek saa 'Jalib' sada nahiin rehtaa
Chalain ge ham bhii kabhii sar uthaa ke raste main
|