mil bhii jaate hain to kataraa ke nikal jaate hain
haaye mausam kii tarah dost badal jaate hain
ham abhii tak hain giraftaar-e-muhabbat yaaro
Thokarein khaa ke sunaa thaa ki sambhal jaate hain
ye kabhii apnii jafaa par na huaa sharmindaa
ham samajhate rahe patthar bhii pighal jaate hain
umr bhar jin kii vafaaon pe bharosaa kiije
vaqt paDane pe vahii log badal jaate hain
__________________