MeraForum Community.No 1 Pakistani Forum Community - View Single Post - tanhayoon main beth kar hasratain sumar karta hun.
View Single Post
(#1)
Old
ROSE ROSE is offline
 


Posts: 52,341
My Photos: ()
Country:
Star Sign:
Join Date: Dec 2009
Location: RAWALPINDI
Gender: Female
Default tanhayoon main beth kar hasratain sumar karta hun. - >>   Show Printable Version  Show Printable Version   Email this Page  Email this Page   02-18-2010, 03:48 PM

tanhayoon main beth kar hasratain sumar karta hun.
jab say gaya hai woh shaks wehsatain sumar karta hun.

kitnay hi piyaroon k naam aye zeh_no_dil main.
jab kabhi apnoon ki adawatain sumar karta hun.

kahan asar rhay gaya jo woh chor kar chala gaya.
usay roknay ki apni minnatain sumar karta hun.

jub say ameeray sahar nay sakhawat ka irada kai.
jo pori ho sakain aesi hajatain sumar karta hun.

waiz nay jab say mujh ko jannat ka hosla diya.
mujh par roz guzartin qayamatain sumar karta hun.

ghamay dunya say ghabra kar kabhi khuab main ja kar.
jo kabhi muyasar thin woh fursatain sumar karta hun.

woh roz naye dhang say karta tha izharay wafa.
roz banti bigarti mohabatain sumar karta hun.

 






Kabhi zindagi me kisik liay mut rona**
q k vo''tumhare ansoun k kabil nahi ho ga''
or ''vo'' jo is ''kabil'' ho ga vo tumhe ''rone'' nahi de ga''*****
Reply With Quote Share on facebook
Sponsored Links