haath uthe hain magar lab pe duaa koi nahin
kii ibaadat bhii vo jis kii jazaa koi nahin
ye bhi waqt ana tha ab to gosh har aavaaz hai
aur mere barbaad dil mein sadaa koi nahin
aa ke ab tasliim kar lein tu nahin to main sahii
kaun maanegaa ke ham mein bewafaa koi nahin
vaqt ne vo Khaak uddai hai ke dil ke dasht se
qafaley guzare hain phir bhi naqsh-e-paa koi nahin
Khud ko yun mahsoor kar baithaa hoon apni zaat mein
manzilen chaaron taraf hai raastaa koi nahin
kaise raaston se chale aur kis jagah pohanchey ‘Faraz’
yaa hajoom-e-dostaan tha saath yaa koi nahin
ایک تیرا ہجر جو بالوں میں سفیدی لایا
ایک تیرا عشق جو سینے میں جوان رہتا ہے
And Allah is All Enough For Me (Al-Quran)