;mai kai batu kissa apne aansuun ka
;baraa derdnak, baraa hi gamnak
;Yaaru laina zara isse apne dil se baand
;rakhti thi her Eid per bakre ki aik raan(leg)
;lachkili chamkadar muti taazi raan
;dekh ker us ko phadrak, jae her khasu aam
;wah wah kai hoti thi us ki aan, baan, shaan
;khub masaale lagwa ker kerwati thi rost
;ghar jab le ker aate kia hoti thi us ki shaan
;pletu mai saja ker, dusterkhan bichha ker
;sath rakhti thi chattni pepsi aur naan
;haayyyyy! na puchhu yaaru kia howa hai
;ab na hai wo raan na ha us ki wo uthaan
;iss Eid per kia sitam howa
;dil tote tote, aur kia gam howa
;le ker jo aae chhupte chhupaate aik raan
;ahhhhhhhhhh
;abi tu aseer bi na hue thi nazre beqarar
;ke abbu, ye kah ker le gae, ke baitaa
;is bar nhi rakhni ha koi bi raan, shaan
;haaayyyyy
;mai jate dekhti rahi uss sehat mand haseena ko
;aankh bhari thi aansun se aur qadmu ma na thi jaan
;dil tha dhakkk, jo aankh ne dekha aisa holnak manzer
;kaat di ksaae ne is bederdi se meri masoom si raan
Aee dil tera aatbarr buht kai ham ne
aur bar bar kai ham ne magr ib nhi
ib tera rasta aur hai aur mera aur hai