|
|
Posts: 63,598
Country:
Star Sign:
Join Date: May 2009
Location: In my Dream... world...
Gender:
|
|
Load shedding main suhaag raat
--------------------------------------------------------------------------------
bijli darasal shehr main anjaam-e-hijr hai
yaani suhaag raat main paighaam-e-hijr hai
shaadi hui kissi key meray qareeb main
"kaali suhaag raat" likhi thi naseeb main
jis roshni main shaadi hui thi chali gayee
utha naqaab-e-husn tu bijli chali gayee
dulha abhi tha muntazir-e-manzar-e-jamal
aaya na WAPDA ko kanwaaray ka kuch khayal
donon kay darmiyaan jafakaar bun gaya
yeh WAPDA samaaj key deewar bun gaya
mishal na thi, chiragh na tha aur diya na tha
pehlay say bay-waqoof nay lighter liya na tha
jaisay keh taar coal chamakta ho dhoop main
gori dikhayee daytee thi kali kay roop main
dil bujhh raha tha kash'ma'kash-e-intizaar say
jaisay keh yeh bhi jalta ho bijli kay taar say
pankha bhi tha sakoon main "A/C" bhi band tha
gadda bhi MOLTYFOAM ka garmi pasand tha
jiddat shad-e-wisaal main goya bala ki thi
gurmi wahan bala ki nahin KArbala ki thi
ik haath doojay haath ko aata na tha nazar
dulha dulhan ko dhoondh raha tha idher udher
tareekiyoon main TAJ MAHAL dhoondhta tha woh
hijr-e-rajz main bahr-e-ramal dhoondhta tha woh
gulshan main jaisay koi gul-e-ter kay aas paas
pyasa bhatak raha tha samander kay aas paas
dulha mian tu hijr ki tanhaiyoon main thay
machar dulhan kay khaas shanasai'oon main thay
rukhsaar, naak, hoont keh woh qadrdaan thay
machar her aitebaar say puray jawan thay
mauqa jahan bhi laga kaat tay rahay
maajoon-e-husn jitni mili chat tay rahay
dulha say machcharoon ka shadeed intiqaam tha
machchar woh kar rahay thay jo dulha ka kaam tha
machchar ko iqtadaar-i-hukumat ka josh tha
aur hizb-i-ikhtalaaf ka quaid khamoosh tha
iss kashmakash mein subh ka aghaaz ho gaya
dulha ghareeb hijr ki chookhat peh soo gaya
jab aasman peh subh ki tanveer chaa gayee
sooraj hua tulloo tu bijli bhi aa gayee...
|