Baada chalka rahey hain jaam say hum
Subha per hans rahay hain shaam say hum
Muskuraana kisay aziz nahi
Dertay hain ghum k intayqaam say hum
Aisay aisay milay hain ehal-e-karam
Kaanptay hain karam k naam say hum
Sheesha-e-dil shikasta, aankhein num
Jee rahay hain kis aihtaymaam say hum
Un ki yaad aaray aa gai werna
Aaj naashe gaye thay kaam say hum
Shab pari hai guzaarnay ko mOHSIN
Or ghabra rahay hain shaam say hum..
Hussain Ke Dushman Ki Sab Se Bari Baat Yeh Hai
Ke Woh Hussain Ka Dushman Hai...