Koi Tu Ho
|
|
Posts: 7,158
Country:
Star Sign:
Join Date: Feb 2009
Location: canada
Gender:
|
|
Aaj raat bhar jaga kal bi jagi theek Kal bi jagon ga kii nayi baat nai
Aree? ye bimari tu meri ha tumhin kab dosh diya?
Tum se ye kab keha k tum ne mera jeena dushwar kiya?
Kab keha k taare ginne ka theka main ne tumhin se liya?
Kab keha k har raat mere ye zakhm ous ki boondon ki terah chamakte
Hanste hain muj par? kehte hain Lo aik our zakhm aa geya
Aik our sathi mill geya Meri jaan agla kab mile ga?
Aise hain ye mere zakhm zulmi Bywafa
Main sirf unhin leite takta rehta houn Quredai rehta houn
Par tum se tu khabi in ka zikar tak nai kiya
Tu phir tumhin ye takleef kaisi Itna malal kya?
Ye zakhm mere hain Ye raatin bi meri hain
Tumhara diya howa kuch nai yehan
Buhat raat ho chali ah Bikhre Jayo jaa k so jayo
Muje itminaan se mere zakhm ginne do
Kahin gar galti se yehan subah ho gayi
Tu kal raat ka kaam mere yaar badh jaye ga
Agar wo pochin tu un se kehna un ka aashiq basta tha yehan
Dikhana un ko wo peepal ka peid
our kehna gaane wo tenhai mein gungunata tha yehan
Le jana un ko darwaze pe our kehna intezar
wo kiya karta tha yehan
Phir rakhna ungli dil pe our kehna
Shikayat karta tha k dard hota ha yehan
~ Bikhre Lamhe ~
|