MeraForum Community.No 1 Pakistani Forum Community - View Single Post - Maah
Thread: Maah
View Single Post
(#1)
Old
AFghani_Laila AFghani_Laila is offline
 


Posts: 16,666
My Photos: ()
Country:
Join Date: Sep 2009
Location: Sangar
Gender: Female
Default Maah - >>   Show Printable Version  Show Printable Version   Email this Page  Email this Page   10-11-2009, 10:06 AM

Saari zindagi Maa k naam krta hon
me khud ko Maa ka ghulam krta hon
jinn hon ne ki zindagi ulaad pe nisar
jo hen Maaien in ko salaam krta hon
jahan dekhta hon lafz Maa likha huwa
chomta hon uss ko ehtraam krta hon



Maan ki 1 dua zindgi bana degi
khud roey gi magar tujhko hansa degi
kabhi bhol k bhi Maan ko na rulana

tmhari 1 galti poora arash hila degi


Sinay se laga kar kaha karti thi MAA mujh ko,,Tu laal hai mera na sata mujh ko,,PAchtaye ga ek din jab mein chali joan gi,,, Na chahtay hoay bhi akaila duniya mein choorh jaon gi Zamana dikhaye ga garmi ki shiddat tujh ko ,,,,Yaad kar k roaye ga muj ko .....


Neend apni bhula k sulaya hum ko, aanso apne gira k hansaya hum ko, dard kabi na dena us hasti ko, zamana kehta he MAA jis ko......


Maa ka aanchall,
Dhoop mein baadal,
.
Maa ki baahen,
Neend ki raahen,
.
Maa ka daaman,
Hansta saawan,
.
Maa ka ghussa,
Piar ka hissa,
.
Maa khud hai kia, ek duwa..

Laboun pe kabhi uske baddua nahi hoti,
Bas ek "MAA" hy, jo muj se khafa nai hoti..

Aankhon se maangne lage paani wuzoo ka,
Kaaghaz par jab b dekh lia ''MAA'' likha hua..

ik muddat se meri maa nahi soyi tabash,mai ne ik baar kaha tha muje darr lagta hai



Plzzzzzz Apne MAMa PAPA Ki Izat Karo Jitna Kar SKte Ho Karo Plzzz Tum Sab bolo INSHALLAH

 



[SIGPIC][/SIGPIC]
Reply With Quote Share on facebook
Sponsored Links